Monday, December 22, 2008

ghalib ki shayyiri

घर जब बना लिया है तेरे दर पर कहे बगैर ! जानेगा अब भी तू न मेरा घर कहे बगैर ! कहते हैं, जब रही न मुझे ताक़त-ए-सुखन[strength to speak] जानु किसी के दिल की मैं क्यूँकर कहे बगैर ! काम उसे आ पड़ा है की जिसका जहाँ में लेवा न कोई नाम 'सितमगर' कहे बगैर ! जी में ही कुछ नहीं है हमारे, वर्ना हम सर जाए या रहे, न रहे पर कहे बगैर ! छोडूंगा मैं न उस बुत-ए-काफिर का पुजना छोड़े न खलक को मुझे काफिर कहे बगैर ! मकसद है नाज़-ओ-घमज़ा, वाले गुफ्तुगू में काम चलता नहीं है, दसना-ओ-खंजर कहे बगैर ! हर चाँद हो मुशाहित[God]-ए-हक की गुफतगू बनती नहीं है बाद[wine]-ए-सागर कहे बगैर ! बहरा हूँ मैं तो चाहिए दूना हो इल्ताफात[mercy] सुनता नहीं हूँ बात मुक़रर[again] कहे बगैर ! 'ग़ालिब' न कर हजूर में तू बार-बार 'अर्ज़ ज़ाहिर है तेरा हाल सब उन पर कहे बगैर !

ghalib ki shayyiri

ghar jab bana liya hai tere darr par kahe bagaiir jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe bagaiir kehte hain, jab rahi na mujhe taaqat-e-sukhan[strength to speak] jaanu kisi ke dil ki main kyunkar kahe bagaiir kaam us'se aa pada hai ki jis ka jahan mein lewa na koi naam 'sitamgar' kahe bagair ji mein hi kuch nahin hai hamare, varna hum sar jaaye ya rahe, na rahein par kahe bagair chodunga main na uss buut-e-kaafir ka poojna chode na khalqgo mujhe kaafir kahe bagaiir maqsad hai naaz-o-ghamza, wale guftagu mein kaam chalta nahin hai, dashna-o-khanjar kahe bagair har chand ho mushaahit[God]-e-haq ki gufagu banti nahin hai baada[wine]-o-saagar kahe bagair behra hun main toh chahiye doona ho iltafaat[mercy] sunta nahin hun baat muqarrar[again] kahe bagair "ghalib" na kar hazoor mein tu baar-baar 'arz zaahir hai tera haal sab unn par kahe bagaiir

khayal ki shayyiri

वहम होगा तो उससे यकीं कह देंगे आसमान को गिरा देंगे, ज़मीं कह देंगे अपना मकसद के लिए अहले-हवस, कया मालूम किसको गुलफाम किसे माहज़बीं कह देंगे ! उम्र भर खुल के न हो पायेगी बातें बाहम(एक दुसरे से) दोनों डरते हैं कि गैरों से कहीं कह देंगे अबके सोचा है कि हम पूछ ही डालेंगे सवाल और कया होगा बहुत ! आप 'नहीं' कह देंगे ! काम होगा कि न होया, ये तो जाने मालिक आप कह्ते हैं तो हम अपनी तईं(अपनी और से) कह देंगे आज़माइश के मयारों से हैं वाकिफ़ हम भी इम्तिहान सख्त न लोगे तो हमीं कह देंगे दिल दिमाग और बदन के भी तनासुब[balance] पे 'ख्याल' वो खरा उतरे तो, हम उसको हसीं कह देंगे

khayal ki shayyiri

veham hoga toh usse log yakin keh denge aasman ko giira denge, zamiin keh denge apne maksad ke liye ahle-hawas, kya maloom kisko gulfaam kise maahzabi keh denge ! umar bhar khul ke na ho payengi baaten bhaham[ek-dosre se] dono darte hain ki gaiiron se kahin keh denge ab ke socha hai ki hum pooch hi daalenge sawaal aur kya hoga bahut ! aap 'nahi' keh denge ! kaam hoga ki na hoga, ye toh jaane maalik aap kehte hain toh hum apne tayin[apni aur se] keh denge aazmiesh ke mayyar se wakiff hum bhi imtihaan sakht na loge toh humi keh denge dil dimaag aur badan ke bhi tanaasub[balance] pe 'khayal' vo khara utare toh, hum ussko hasin keh denge

muzaffar warsi ki shayyiri

हाथ आँखों पे रख लेने से खतरा नहीं जाता दीवार से भूचाल को रोका नहीं जाता दावों के तराजू में तो अजमत नही तुलती फीते से तो किरदार को नापा नहीं जाता फरमान से पेड़ों पे कभी फल नहीं लगते तलवार से मौसम को बदला नहीं जाता चोर अपने घरों में तो नहीं नकाब लगाते अपनी ही कमाई को तो लुटा नहीं जाता औरों के खयालात कि लेते है तलाशी और अपने गिरेबाँ में झाँका नहीं जाता फौलाद से फौलाद तो कट सकता है लेकिन कानून से कानून बदला नहीं जाता तूफ़ान में हो नाव तो कुछ सबर भी आ जाये साहिल पे खड़े होके तो डूबा नहीं जाता दरिया के किनारे तो पहुँच जाते हैं प्यासे प्यासों के घरों तक तो दरिया नहीं जाता अल्लाह जिसे चाहे उसे मिलती है 'मुज़फर' इज्ज़त को दुकानों से ख़रीदा नहीं जाता

muzaffar warsi ki shayyiri

haath aankhon pe rakh lene se khatraa nahin jaata diwaar se bhuuchal ko roka nahin jaata daavon ki taraazu mein toh azmat nahin tulti fiite se toh qirdaar ko naapaa nahin jaata [qirdaar : character; fiite : (measuring string] farmaan se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam ko badla nahin jaata [farman : hukam; pedon : trees] chorr apne gharon mein toh nahin naqab lagate apni hi kamai ko toh luuta nahin jaata auron ke khayalaat ki lete hain talaashi aur apne garibaan mein jhaanka nahin jaata faulaad se faulaad toh kat sakta hai lekin kaanuun se kaanuun badla nahin jaata tufaan mein ho naav toh kuch sabr bhi aa jaaye saahil pe khade ho ke toh duba nahin jaata dariya ke kinare toh pahunch jaate hain pyaase pyasoon ke gharon tak toh dariya nahin jaata Allah jise chahe usse milti hai "“Muzaffar” izzat ko dukaanon se khariida nahin jaata

zamil ki shayyiri

आप में गुम हैं मगर सब कि खबर रखते हैं घर में बैठे है ज़माने पे नज़र रखते हैं नुकताचीं देखिये किस किस पे नज़र रखते है हमसे अब ऐ ! गर्दिश-ए-दौराँ तुम्हे कया लेना है एक ही दिल है सो वो ज़ेर-ए-ज़बर रखते हैं जिसने तेरा उजालों का भ्रम रखा है अपने सीने में वो ना-दीदा सहर रखते हैं रहनुमा खो गए मंजिल तो बुलाती हैं हमें पाँव ज़ख्मी है तो कया ! जोक-ए-सफ़र रखते है वो अंधेरो के पयम्बर है तो कया गम है "जामिल" हम भी आँखों में कई शम्स-ओ-कमर रखते हैं

zamil ki shayyiri

aap mein guum hai magar sab ki khabar rakhte hai ghar mein baithe hai zamane pe nazar rakhte hai nuktaachiin dekhiye kis kis pe nazar rakhte hai hum se ab ae gardish-e-dauraan tumhe kya lena hai ek hi dil hai so vo zer-e-zabar rakhte hai jis ne tiira-ujaalo ka bharm rakha hai apne seene mein vo na-deeda sahar rakhte hai rehnuma kho gaye manzil toh bulati hai hamen paanv zakhmi hai to kya zauq-r-safar rakhte hai vo andhero ke payamber hai toh kya gam hai 'zamil' hum bhi ankho mein kai shams-o-qamar rakhte hai

anjum rahbar ki shayyiri

jinke aangan mein amiri ka shajar[tee] lagta hai
unka har aib zamaane ko humar lagta hai
chaand taare mere qadmon mein bichhe jaate hain
ye buzurgon ki duaon ka asaar lagta hai
ma mujhe dekh ke naaraz na ho jaaye kahin

sar pe aanchal nahin hota hai toh darr lagta hai

anjum rahbar ki shayyiri

जिनके आँगन में अमीरी का शजर[tree] लगता है
उनका हर ऐब ज़माने को हुनर लगता है
चाँद तारे मेरे क़दमों में बिछे जाते हैं
ये बुजुर्गों कि दुआओं का असर लगता है
माँ मुझे देख के नाराज़ ना हो जाये कहीं
सर पे आँचल नहीं होता है तो डर लगता है

javed akhtar ki shayyiri

दुख के जंगल में फिरते हैं कब से मारे मारे लोग
जो होता है सह लेते हैं कैसे हैं बेचारे लोग

जीवन-जीवन हमने जग में खेल यही होता देखा

धीरे-धीरे जीती दुनिया धीरे धीरे हारे लोग

वक़त सिंघासन पर बैठा है अपने राग सुनाता है

संगत देने को पाते हैं सांसों के इकतारे लोग

नेकी इक दिन काम आती है हमको कया समझाते हो

हमने बेबस मरते देखे कैसे प्यारे-प्यारे लोग

जिनकी नगरी है वो जाने हम ठहरे बंजारे लोग

javed akhtar ki shayyiri

dukh ke jungle mein firte hain kab se mare mare log jo hota hai seh lete hain kaise hain bechaare log jiwan-jiwan hum ne jag mein khel yahi hota dekha dheere-dheere jeeti duniya dheere-dheere haare log waqt singhaasan par baitha hai apne raag sunaata hai sangat dene ko patay hain sanson ke iktare log neki ik din kaam aati hai humko kya samjhate ho hum ne bebas marte dekhe kaise pyare-pyare log jinki nagri hai vo jaane hum thehre banjare log

javed akhtar ki shayyiri

ये तसल्ली है के हैं नाशाद सब मैं अकेला ही नहीं
बर्बाद सब
सबकी खातिर हैं यहां सब अजनबी
और कहने को हैं घर आबाद सब

भूल के सब रंजिशें सब एक हैं
मैं बताऊँ,
सबको होगा याद सब
सब को दावा-ए-वफ़ा,
सबको यकीन
इस अदाकारी में हैं उस्ताद
सब
शहर के हाकिम का ये फरमान है
क़ैद में कहलायेंगे आजाद सब

चार लफ्जों में कहो जो भी कहो

उसको कब फुर्सत सुने फरियाद
सबा
तल्खियाँ कैसे ना हो आशार में
हमपे जो गुजरी हमें है याद सब

javed akhtar ki shayyiri

ye tasalli hai ke hain nashaad sab
main akela hi nahin barbaad sab

sabki khatir hain yahan sab
ajnabi
aur kehne ko hain ghar aabad sab
bhool ke sab ranjishen sab ek hain
main bataoon, sabko hoga yaad sab

sab ko dava-e-wafa,sabko yaqeen

iss adaakari mein hain ustaad sab

shehr ke hakim ka ye farman hai

qaid mein kehlayenge aazad sab
char lafzon mein kaho jo bhi kaho

ussko kab fursat sune fariyaad sab

talkhiyan kaise na ho aashaar mein
hum pe jo guzri hamen hai yaad sab

javed akhtar ki shayyiri

मैं पा सका न कभी इस खलिश से छुटकारा
वो मुझसे जीत भी सकता था, जाने क्यूँ हारा

बरस के खुल गए आंसू, निखर गयी है फिजा

चमक रहा है सर-ए-शाम दर्द का तारा

किसी की आँख से टपका था एक अमानत है

मेरी हथेली पे रखा हुआ यह अंगारा

जो पर समेटे तो एक शाख भी नहीं पाई

खुले थे पर तो आसमान था सारा

वो सांप छोड़ दे डसना यह मैं भी कहता हूँ

मगर न छोडेंगे यें लोग उसको अगर न फुंकारा

javed akhtar ki shayyiri

main pa saka na kabhi iss khalish se chhutkara
vo mujhse jeet bhi sakta tha, jaane kyun haara
baras ke khul gaye aanso,nikhar gayi hai fiza
chamak raha hai sar-e-shaam dard ka tara
kisi ki aankh se tapka the ek amanat hai
meri hatheli pe rakha hua yeh angara
jo par samete to ek shaakh bhi nahi pai
khule the par toh aasman tha sara
vo saanp chhod de dasna yeh main bhi kehta hun
magar na chhodenge ye log ussko agar na funkara

javed akhtar ki shayyiri

सच यें है बेकार हमें गम होता है
जो चाहा था दुनिया में कम होता है

ढलता सूरज, फैला जंगल, रस्ता गुम

हमसे पूछो कैसा आलम होता है

गैरों को कब फुर्सत है दुख देने की

जब होता है कोई हमदम होता है

ज़ख्म तो हमने इन आँखों से देखे हैं

लोगों से सुनते हैं मरहम होता है

जेहन की शाखों पर अशआर आ जाते हैं

जब तेरी यादों का मौसम होता है

javed akhtar ki shayyiri

sach ye hai bekar hamen gam hota hai
jo chaha tha duniya mein kam hota hai

dhalta suraj, faila jungle, rasta guum

humse poocho kaisa aalam hota hai

ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki

jab hota hai koi humdam hota hai

zakhm toh hum ne inn aankhon se dekhe hain

logon se sunte hain marham hota hai

zehan ki shakhon par ashaar aa jaate hain
jab teri yadon ka mosham hota hai

javed akhtar ki shayyiri

यही हालत इब्तदा से रहे
लोग हमसे ख़फा ख़फा से रहे

बेवफा तुम कभी ना थे लेकिन

यें भी सच है कि बेवफा से रहे

इन चिरागों में तेल ही कम था

क्यों गिला फिर हमें हवा से रहे

बहस, शतरंज शेर मौसिकी

नहीं रहे तो यें दिलासे रहे
उसके बन्दों को देखकर कहिये

हमको उम्मीद कया खुदा से रहे

जिंदगी की शराब मांगते हो

हमको देखो कि पी के प्यासे रहे

javed akhtar ki shayyiri

yahi haalaat ibtada se rahe
log hamesha khaffa khaffa se rahe

bewaffa tum kabhi na thay lekin

ye bhi sach hai ki bewaffa se rahe

inn chiragon mein tel hi kam tha

kyun gila phir hamen hawa se rahe

behas, shatranj sher mausiqi

tum nahin rahe toh ye dilaase rahe

usske bandon ko dekhkar kahiye

hamko ummid kya khuda se rahe

zindgi ki shraab mangte ho

hum ko dekho ki pii ke pyaase rahe

javed akhtar ki shayyiri

हमारे शौंक की ये इन्तहा थी
क़दम रखा कि ... मंजिल रास्ता थी

बिछड़ के डार से ... वन-वन[जंगल] फिरा वो

हिरन को अपनी कस्तूरी[musk-deer] कज़ा थी

कभी जो ख्वाब था ... वो पा लिया है !

मगर जो खो गयी ... वो चीज़ कया थी ???

मैं बचपन में खिलौने तोड़ता था

मेरे अंजाम की वो इबतीदा थी

मुहबत मर गयी ... मुझको भी ग़म है

अच्छे दिनों की आशना[दोस्त] थी
जिसे छू लूं मैं ... वो वो जाये सोना
तुझे देखा .. तो ... जाना बददुआ थी

मरीज़-ए-ख्वाब को तो ... अब सफा[आराम] है

मगर दुनिया बड़ी कड़वी दवा थी

javed akhtar ki shayyiri

hamare shaunq ki ye inteha thi qadam rakha ke ... manzil raasta thi bichad ke daar se ban-ban[forest] phira vo hiran ko apni kasturi[musk-deer] kaza thi kabhi jo khwab tha ... vo pa liya hai magar jo kho gayi ... vo cheez kya thi ? main bachpan mein khilone todta tha mere anjaam ki vo ibtida thi muhabat marr gayi ...mujhko bhi gham hai mere acche dino ki ... aashna[friend] thi jise chhuu loon main vo ... ho jaaye sona [ gold] tujhe dekha .. toh ... jaana ki bad_dua thi !!! mareez-e-khwab ko toh ... ab shafaa[aaram] hai magar ... duniya badi kadwi davaa thi


faiz ki shayyiri

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए गम आते हैं
जैसे बिछडे हुए काबे में सनम आते हैं
इक-इक करके हुए जाते हैं तारे रोशन
मेरी मंजिल की तरफ तेरे कदम आते हैं
रस-ए-मय[शराब का दौर] तेज़ करो,साज़ की लय तेज़ करो
सु-ए-मयखाना[मयखाना की ओर] सफीरान-ए-हरम[धर्म के प्रतिनिधि] आते हैं
कुछ हमीं को नहीं एहसान उठाने का दिमाग
वो तो जब आते हैं, माइल-ब-करम[कृपालु] आते हैं
और कुछ देर न गुज़रे, शब्-ए-फुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है, वो याद भी कम आते हैं

faiz ki shayyiri

dil mein ab yun tere bhule huye gam aate hain
jaise bichade huye kaabe mein sanam aate hain
ik-ik karke huye jaate hain taare roshan
meri manzil ki taraf tere kadam aate hain
ras-e-mai[shraab ka daur] tez karo,saaz ki lai tez karo
su-e-maikhana[maikhane ki aur] safiraan-e-harm[dhram ke prtinidi] aate hai
kuch hamen ko nahin ehsaan ka dimaag vo toh
jab aate hain, maail-b-karam[kirpalu] aate hain
aur kuch der na guzre, shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai, vo yaad bhi kaam aate hain

faiz ki shayyiri

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain
har ajnabi, hamen marham dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
sabaa se karte hain gurbat naseeb[ghar se duur rehne wale] zikr-e-vatan[ghar ki charch]
toh chsm-e-subah[subah ki aankhon] mein aanso ubharne lagte hain
vo jab bhi karte hain iss nutak-o-lab ki bakhiyagari[lab aur baat bandh karna]
faza mein aur bhi nagme bikhrne lagte hain
dar-e-kafas[door of jail] pe andhere ki mohar lagti hai toh "faiz"
dil mein sitare ubharne lagte hain

faiz ki shayyiri

बे-दम हुए बीमार दावा क्यूँ नहीं देते
तुम अच्छे मसीहा हो शिफा क्यूँ नहीं देते
दर्द-ए-शब्-ए-हिज्राँकि ज़जा[इनाम] क्यूँ नहीं देते
खून-ए-दिल-ए-वहशी का सिला[बदला] क्यूँ नहीं देते
मिट जायेगी मखलूक[सृष्टि] तो इन्साफ करोगे
मुंसिफ हो तो अब हश्र उठा क्यूँ नहीं देते
पैमान-ए-जुनूं हाथों को शरमाएगा कब तक
दिलवालों, गीरेबां का पता क्यूँ नहीं देते
बर्बादी-ए-दिल-ज़बर[विवशता] नहीं "फैज़"
किसी का वो दुश्मन-ए-जां है तो भुला क्यूँ नहीं देते

faiz ki shayyiri

be-dam huye bimaar dawa kyun nahin dete
tum achche masiha ho shifa kyun nahin dete
dard-e-shab-e-hizraan ki zaza[inaam] kyu nahi dete
khun-e-dil-e-vehshi ka sila[badla] kyun nahin dete
mit jayegi makhlook[shristi] toh insaaf karoge
munsif ho toh ab hashr utha kyun nahin dete
paimaan-e-junnon[diwangi ki kasam] haatho ko sharmayega kab tak
dilwalo, girabaan ka pata kyun nahi dete
barbadi-e-dil-zabr[majboor] nahi "faiz"
kisi ka vo dushman-e-jaan hai toh bhula kyun nahin dete

faiz ki shayyiri

क़र्ज़-ए-निगाह-ए-यार अदा कर चुके है हम सब कुछ निसार-ए-राह-ए-वफ़ा कर चुके है हम अब एहतियात कि कोई सूरत[बचाव का रस्ता] नहीं रही कातिल से रस्म-ओ-राह सिवा[सम्पर्क बढ़ाना] कर चुके है हम देखे हैं कौन कौन, ज़रुरत नहीं रही कू-ए-सितम[अत्याचार की गली] है, चाहे जहाँ चलें रहबर से अपनी राह जुदा कर चुके हैं हम उनकी नज़र में, कया करें, फीका है अब भी रंग जितना लहू था सर्फ़-ए-कबा[वस्त्रो पर व्यय] कर चुके हैं हम कुछ अपने दिल की खू का भी शुकराना चाहिए सौ बार उनकी ख़ू का गिला[स्वभाव की शिकयात] कर चुके हैं हम

faiz ki shayyiri

karz-e-nigah-e-yaar adaa kar chuke hai hum
sab kuch nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hai hum
ab ehtiyaat ki koi suart[way to escape] nahi rahi
kaatil se rasm-o-rah shiva[increase contact] kar chuke hai
hum dekhe hai kaun kaun, jaroorat nahin rahi
ku-e-sitam[zulm ki gali] mein sab ko khafa kar chuke hai hum
ab apna ikhtiyar hai, chahe jahan chalen
rehbar se apni raah juda kar chuke hai hum
unnki nazar mein, kya kare, feeka hai ab bhi
rang jitna lahu tha sarf-e-kabaa[expenses on clothes] kar chuke hai
hum kuch apne dil ki khu ka bhi sukrana chahiye
sau baar unnki khu ka gila[compaint of nature] kar chuke hain hum

faiz ki shayyiri

बात बस से निकल चली है
दिल की हालत संभल चली है
अब जुनूं हद से बढ़ चला है
अब तबियत बेहाल चली है
अश्क खुनाब[लहू का रंग]हो चले है
गम की रंगत बदल चली है
लाख पैगाम हो गए है
जब सबा इक पल चली है
जाओ, अब सो रहो सितारों
दर्द की रात ढल चली है

faiz ki shayyiri

baat bas se nikal chali hai
dil ki haalat sambhal chali hai
ab junoon hadh se badh chala hai
ab tabiyat behal chali hai
ashk khunaab[lahu ka rang] ho chale hai
gam ki rangat badal chali hai
laakh paigham ho gaye hai
jab saba ik pal chali hai
jaao, ab so raho sitaro
dard ki raat dhal chali hai

faiz ki shayyiri

राज़-ए-उल्फत छुपा के देख लिया
दिल आहूत कुछ जला के देख लिया
और कया देखने को बाकी है
आप से दिल लगा के देख लिया
वो मेरे होके भी मेरे ना हुए
उनको अपना बना के देख लिया
आज उनकी नज़र में कुछ हमने
सब की नज़रें बचा के देख लिया
"फैज़" तकमील-ए-गम भी हो ना सकी
इश्क को आजमा के देख लिया

faiz ki shayyiri

raaj-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuch jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baaki hai
aap se dil laga ke dekh liya
vo mere hoke bhi mere na huye
unnko apna bana ke dekh liya
aaj unnki nazar mein kuch humne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
"faiz" takmeel-e-gam bhi ho na saki
ishq ko aajma ke dekh liya

Sunday, December 21, 2008

zafar ki shayyiri

आशना[दोस्त] हो तो आशना समझे हो जो नाआशना, तो कया समझे ? हम इसी को भला समझते है आपको जो कोई बुरा समझे वसल है, तू जो समझे, उसे वसल तू जुदा है, अगर जुदा समझे जो ज़हर देवे अपने हाथ से तू तेरा बीमारे-गम दावा समझे हो वो बेगाना एक आलम से जिसको अपना वो दिलरुबा समझे ऐ ! "ज़फर" वो कभी ना हो गुमराह जो मुहबत को रहनुमा समझे

zafar ki shayyiri

aashna[dost] ho toh aashna samjhe ho jo na_ashna, toh kya samjhe ? hum issi ko bhala samjhte hain aapko jo koi bura samjhe wasal hai, tu jo samjhe, usse wasal tu juda hai, agar juda samjhe jo zehar deve apne haath se tu tera bimaar-e-gham dawa samjhe ho vo begana ek aalam se jisko apna vo dilruba samjhe ae ! "zafar" vo kabhi na ho gumraah jo muhabat ko rehnuma samjhe

bashir badr ki shayyiri

अभी इस तरफ ना निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें संवर लूँ
मेरा लफ्ज़ लफ्ज़ हो आइना तुझे आईने में उतर लूँ
मैं तमाम दिन का थका हुआ, तू तमाम शब का जगा हुआ
ज़रा ठहर जा इसी मोड़ पर तेरे साथ शाम गुजार लूँ
अगर आसमान की नुमयिशों में मुझे भी इज़्ने-कयाम[ठहराव का आदेश] हो
तो मैं मोतियों की दूकान से तेरी बालियाँ तेरे हार लूँ
कई अजनबी तेरी राह के मेरे पास से यूँ गुज़र गए
जिन्हें देखकर यें तड़प हुई तेरा नाम ले के पुकार लूँ

bashir badr ki shayyiri

abhi iss taraf na nigah kar main gazal ki palken sanwaar loon
mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein uttar loon
main tamam din ka thaka hua, tu tamam shab ka jaga hua
zara thehr ja issi mod par tere saath shaam guzar loon
agar aasman ki numayishon mein mujhe bhi izne kayaam[thehrav ka aadesh] ho
toh main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haar loon
kai ajnabi teri rah ke mere paas se yun guzar gaye
jinhe dekh kar ye tadap hui tera naam le ke pukar loon

bashir badr ki shayyiri

आँसूओ कि जहाँ पायमाली रही
ऐसी बस्ती चिरागों से खाली रही
दुश्मनों कि तरह उससे लड़ते रहे
अपनी चाहत भी कितनी निराली रही
जब कभी भी तुम्हारा ख्याल आ गया
फिर कई रोज़ तक बेखयाली रही
लब तरसते रहे इक हँसी के लिये
मेरी कश्ती मुसाफिर से खाली रही
चाँद तारे सभी हम सफ़र थे मगर
जिंदगी रात थी रात काली रही
मेरे सीने पे खुशबू ने सर रख दिया
मेरी बाहों में फूलों की डाली रही

bashir badr ki shayyiri

aansoon ki jahan paymaali rahi
aisi basti chiragon se khali rahi
dushmano ki tarah usse ladte rahe
apni chaht bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarste rahe ik hassike liye
meri kashti musafir se khali rahi
chaand taare sabi humsafar thay
magar jindgi raat thi raat kaali rahi
mere seene pe khusboo ne sar rakh diya
meri bahoon mein phoolon ki daali rahi

bashir badr ki shayyiri

कभी यूँ भी आ मेरी आँख में कि मेरी नज़र को खबर ना हो
मुझे एक रात नवाज़ दे मगर इसके बाद सहर ना हो
वो बड़ा रहीमो-करीं है मुझे यें सिफत भी अता करे
तुझे भूलने की दुआ करूँ तो मेरी दुआ में असर ना हो
मेरे बाजूओं में थकी थकी अभी महवेख्वाब[सपने में खोई] है
चांदनी ना उठे सितारों की पालकी अभी आहटों का गज़र ना हो
कभी दिन की धुप में झूम के कभी शब के फूल को चूम के
यूँ ही साथ साथ चलें सदा, कभी ख़त्म अपना सफ़र ना हो

bashir badr ki shayyiri

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar iss ke baad sahar na ho
vo bada rahimo-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhoolne ki dua karoon toh meri dua mein bhi asar na ho
mere bazoon mein thaki thaki abhi mahvekhwab[lost in dream] hai chandni
na uthe sitaron ki paalki abhi aahton ka guzar na ho
kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho

bashir badr ki shayyiri

वो ग़ज़ल वालों का उस्लूब[शैली] समझते होंगे
चाँद कह्ते हैं किसे खूब समझते होंगे
इतनी मिलती है मेरी गज़लों से सूरत तेरी
लोग तुझ को मेरा महबूब समझते होंगे
मैं समझता था मुहबत की ज़बाँ खुश्बू है
फूल से लोग इसे खूब समझते होंगे
भूल कर अपना यें ज़माना ज़माने वाले
आज के प्यार को मायूब[बुरा] समझते होंगे

bashir badr ki shayyiri

vo gazal walon ka usloob[tareeka] samjhte honge
chaand kehte hain kise khoob samjhte honge
itni milti hai meri gazalon se surat teri
log tujhko mera mehboob samjhte honge
main samjhta tha muhabat ki zabaan khusboo hai
phool se log isse khoob samjhte honge
bhool kar apna zamana ye zamane wale
aaj ke pyar ko maayoob[bura] samjhte honge

meer ki shayyiri

जीते-जी कुंचा-ए-दिलदार[प्रिय कि गली] से जाया ना गया उसकी दीवार का सर से मेरे साया ना गया गुल में उसकी-सी जो बू आई तो आया ना गया हमको बिन दोशे-शबा[हवा के कंधे]बाग़ से लाया ना गया कया तुनक[कम]-हौसला थे दीदा-ओ-दिल[आँखें,दिल] अपने आह एकदम[क्षणभर के लिए] राज़ मुहबत का छुपाया ना गया मह[चाँद] ने आ सामने शब याद दिलाया था उसे फिर वो ता-सुबह मेरे जी से भुलाया ना गया गुल ने हरचंद कहा बाग़ में रह, पर उस से जी जो उल्टा तो किसी तरह लगाया ना गया
सर-नशीने-रहे-मयखाना[मदिरालय की राह में बैठा हुआ] हूँ मैं कया जानूं रस्मे-मसजिद के तईं शेख कि आया ना गया खौफे-आशेब से गौगा-ए-क़यामत[प्रलय का शोर] के लिए खूने-ख्वाबीदा-ए-उश्शाक[कत्ल प्रेमियों का सोया खून] जगाया ना गया शहरे-दिल आह अजाब जाय[जगह] थी पर उसके गए ऐसा उजड़ा कि किसी तरह बसाया ना गया जेरे-शमशेर-सितम[अत्यचार कि तलवार] "मीर" तडपना कैसा सर भी तस्लीम-मुहबत में हिलाया ना गया

meer ki shayyiri

jeete-ji kooncha-e-dildaar[premi ki gali] se jaaya na gaya
usski deewar ka sar se mere saaya na gaya
gul mein usski-si jo buu aai toh aaya na gaya
humko bin doshe-saba[hawa ke kandhe] baagh se laya na gaya
dil mein reh dil mein ki memare-kaza[God] se ab tak
aisa matbu'aa[wished] makaan koi banaya na gaya
kya tunak[less]-hausla thay deed-o-dil[eyes,heart] apne aah
ekdam[palbhar ke liye] raaz muhabat ka chhypaya na gaya
maah[chaand] ne aa saamne shab yaad dilaya usse
phir vo ta-subah mere jii se bhulaya na gaya
gul ne harchand kaha baagh mein reh, par uss din
jii jo ulta toh kisi tarah lagaya na gaya
sar-nasheen-e-rah-e-mahkhana[madirayla ki raah mein baitha] hun, main kya jaanu rasm-e-maszid ke tayin shekh ki aaya na gaya khauff-e-aasheb se googa-e-qaymat [parlaye ka shor] ke liye khun-e-khwabeeda-e-ushshaak[sleeping blood of killed lovers] jagaya na gaya shehr-e-dil aah azab jaae[jagah] thi par usske gaye aisa ujda ki kisi tarah basaya na gaya zer-e-shamsheer-e-sitam "meer" tadpana kaisa sar bhi tasleem-e-muhabat mein hilaya na gaya

meer ki shayyiri

देख तो दिल कि जां से उठता है यह धुंआ-सा कहाँ से उठता है गोर[कब्र] किस दिलजले कि है यें फलक शोला इक सुबह यां से उठता है खाना-ए-दिल से जीनहार[हर्गिज़] ना था कोई ऐसे मकां से उठता है बैठने कौन दे है फिर उनको जो तेरे आस्तां[चोखट] से उठता है यूँ उठे आह उस गली से हम जैसे कोई जहाँ से उठता है इश्क एक "मीर" भारी पत्थर है कब यें तुझ नातवां[कमज़ोर] से उठता है

meer ki shayyiri

dekh toh dil ki jaan se uthta hai yeh duaan-sa kahan se uthta hai gaur[kabar] kis diljale ki hai ye falak shola ik subah yaan se uthta hai khana-e-dil se zeenhaar[hargiz] na tha koi aise makaan se uthta hai baithne kaun de hai phir unnko jo tere aastaan[chokhat] se uthta hai yun uthe aah uss gali se hum jaise koi jahan se uthta hai ishq ek "meer' bhaari pathar hai kab ye tujh natvaan[kamzor] se uthta hai

akbar ki shayyiri

सौ जान से महव-ए-रुख-ए-जाना[प्रेमिका को देखना] हैं तो हम हैं
इस आइना खाना[शीशा घर] में जो हैरांहैं तो हम हैं
गुल्गिश्त करें, फूल चुनें उनको है कया गम
आवारा-ए-सहरा-ए-मुगीलां[जंगल में भटकना] हैं तो हम हैं
भड़की हुई है आतिश-ए-गुल अपने ही दम से
सोज़-ए-जिगर-ए-बुलबुल-ए-नालां[परेशां बुलबुल का दिल का दर्द]हैं तो हम हैं
शोर अपने ही जलवे का है यें दैर-ओ-हरम[मंदिर-मसजिद] में
मक़सूद-ए-दिल-ए-गबरू-ओ-मुसलमां[पूजा-इबादत करने वाले]हैं तो हम हैं
ऐ बर्क़[बिजली] तड़पने में हम हैं तेरे साथी
ऐ अब्र[बादल] तेरे साथ जो गिरयां[रोता हुआ] है तो हम हैं
दिन रात रकीबों पे है साहिब कि इनायत
बस एक गम-ए-हिज्र में नालां[परेशान] हैं तो हम हैं

akbar ki shayyiri

sau jaan se mahv-e-rukh-ejaana[premika ko dekhna] hain toh dam hai
iss aaiina khana[sheshe ka ghar] mein jo hairan hain toh hum hai
gulghist karen, phool chune, unnko hai kya gham
aawara-e-sehra-e-mugeelan[jungle mein bhadkne wale] apne hi dam se
soz-e-jigar-e-bulbul-e-naalan[preshan bulbul ke dil ka dard] hai toh hum hain
shor apne hi jalwe ka hai ye dair-o-harm[mandir-masjid] mein
maksud-e-dil-e-ghabro-0-mulmaan[pooja-ibadat karne wale] hain toh hum hain
ae bark[bijli] tadpne mein hum hain tere saathi
ae abr[badal] tere sath jo giryaab[rota hua] hain toh hum hain
din raat raqeebon pe hai shahib ki inayat
bas ek gham-e-hizar mein nalaan[pareshan] hain toh hum hai

akbar ki shayyiri

ग़मज़ा[नखरा] नहीं होता कि इशारा नहीं होता
आँख उन से जो मिलती है तो कया कया नहीं होता

जलवा न हो मानी का तो सूरत का असर कया

बुलबुल गुल-ए-तस्वीर का शयदा[चाहना] नहीं होता

अल्लाह बचाए मर्ज़-ए-इश्क से दिल को

सुनते हैं कि यें आरज़ा[रोग] अच्छा नहीं होता

तशबीह[मिसाल] तेरे चेहरे को कया दूं
गुल-ए-तर से
होता है शगुफ्ता मगर इतना नहीं होता
मैं निज़आ[मृत्यु का समय] में हूँ आयें तो एहसान है उनका

लेकिन यें समझ लें के तमाशा नहीं होता

हम आह भी करते हैं तो हो जाते हैं बदनाम

वो कतल भी करते हैं तो चर्चा नहीं होता

akbar ki shayyiri

gamza [nakhra] nahi hota ki ishara nahin hota
aankh unnse jo milti hai toh kya kya nahi hota
jalwa na ho maani ka toh surat ka asar kya
bulbul gul-e-tasveer ka shyada[chahna] nahin hota
allah bachaye marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki
ye aarzaa[bimari] achcha nahi hota
tashbeeh[misaal] tere chehre ko kya dun
gul-e-tar se hota hai shgufta magar itna nahin hota
main nizaa[maut ka samay]mein hun, aayen toh ehsan hai unnka
lekin ye samjh len ki tamasha nahin hota
hum aah bhi karte hain toh ho jaate hain badnaam
vo katal bhi karte hain toh charcha nahin hota

akbar ki shayyiri

कया है रह रह के तबियत मेरी घबराती है
मौत आती है शब-ए-हिज़्र[जुदाई की रात], ना नींद आती है

वो भी चुप बैठे हैं, इगयार[दुश्मन] भी चुप, मैं भी खामोश

ऐसी सोहबत से तबियत मेरी घबराती है

क्यूँ ना हो अपनी लगावट की नज़र पर नाजां[घुमंड]

जानते हो की दिलों को यें लगा लेती है

बज्म-ए-इशरत[ख़ुशी की महफिल] कहीं होती है, रो देता हूँ

कोई गुजरी हुई सोहबत मुझे याद आती है

akbar ki shayyiri

kya hai reh reh ke tabiyat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hizar[judai ki raat], na neend aati hai
vo bhi chup baithe hain, igyyiar[dushman] bhi chup,main bhi khamosh
aisi shohbat se tabiyat meri ghabrati hai
kyun na ho apni lagavat ki nazar par naazan[proudy]
jaante ho ki dilon ko ye laga leti hai
bazm-e-ishrat[khushi ki mehfil] kahin hoti hai.roa deta hun
koi guzri hui shobat mujhe yaad aati hai

hafeez ki shayyiri

अब तो कुछ और भी अँधेरा है
यें मेरी रात का सवेरा है
रहज़नो[लुटेरे] से तो भाग निकला था
अब मुझे रहबरों[पथ परदर्शक] ने घेरा है
आगे-आगे चलो तबर[हथियार] वालो
अभी जंगल बहुत घनेरा है
काफिला किसकी पैरवी में चले
कौन सबसे बड़ा लुटेरा है ?
सोया रहे अब "हफीज़ जी" तुम भी
यें नयी जिंदगी का डेरा है

hafeez ki shayyiri

ab toh kuch aur bhi andhera hai ye meri raat ka savera hai rehzano[lutere] se toh bhaag nikla tha ab mujhe rehbaron[raah dikhane walon] ne ghera hai aagay-aagay chalo tabarhathiyar] valo abhi jungle bahut ghanera hai kaafila kisiki pairvi mein chale kaun sabse bada lutera hai ? soa rahe ab "hafeez ji" tum bhi ye nayi zindgi ka dera hai

hafeez ki shayyiri

यें कया मुकाम है वो नज़ारे कहाँ गए
वो फूल कया हुए, वो सितारे कहाँ गए
याराने-बज्मे-जुरअते-रिन्दाना कया हुई
उन मस्त अंखडियों के इशारे कहाँ गए
एक और दौर का वो तकाज़ा किधर गया
उमड हुए वो होश के धारे कहाँ गए
उठ-उठ के बैठ चुकी गर्द राह की
यारो ! काफले थके हारे कहाँ गए
बेताब तेरे दर्द से थे चाराहगर "हफीज़"
कया जानिए वो दर्द के मारे कहाँ गए

hafeez ki shayyiri

ye kya mukaam hai vo nazare kahan gaye
vo phool kya huye, vo sitare kahan gaye
yarane-bazme zurate-rindane kya hui
unn mast ankhdiyon ke ishare kahan gaye
ek aur daur ka vo takaza kidhar gaya
umade huye vo hosh ke dhaare kahan gaye
uth-uth ke baith chuki gard raah ki
yaaro ! kaafile thake haare kahan gaye
betaab tere dard se thay charagar "hafeez"
kya zaniye vo dard ke maare kahan gaye

hafeez ki shayyiri

हवा भी खुश गावर है, गुलों पे भी निखार है तरन्नुम हज़ार है, बहार पर बहार है कहाँ चला है साकिया इधर तो लौट इधर तो आ अरे यें देखता है कया उठा सुबू[सुराही], सुबू उठा सुबू उठा प्याला भर, प्याला भर के दे इधर चमन की सिमट कार नज़र, समां तो देख बे खबर वो काली-काली बदलियां उफ्फक पे हो कहीं अयां[प्रगट] वो इक हजुमे-मय कशां[शराब पीने वालो की भीड़] है सुए-मयकदा[मधुशाला] रवां यें कया गुमां है बदगुमां, समझ न मुझको नातवां खयाले ज़ोहद[पूजा पाठ करने का विचार] अब कहाँ अभी तो मैं जवान हूँ

hafeez ki shayyiri

hawa bhi khush gawar hai, gulo pe bhi nikhaar hai taranum hazaar hai, bahaar par bahaar hai kahan chala hai sakiya idhar toh laut idhar toh aa arre ye dekhta hai kya utha subu[surahi], subu utha subu utha payala bhar, pyala bhar ke de idhar chaman ki simat kar nazar, samaa toh dekh be-khabar vo kali-kali badliyan uffak pe ho kahin ayaan[appear] vo ik hazume-mai[shrabio ki bheed] kashan hai suye-mehkada[madhushala ki aur] ravan ye kya guman hai bad-guma, samjh na mujhko natvaan khayale zohid[pooza-paath karne ka vichar] abhi kahan abhi toh main jawan hun

zauk ki shayyiri

रखता ज़बस[इतना अधिक] कि ज़ेफ़ये[बदबूदार जानवर] दुनिया से नंग[घृणा] हूँ पारस भी हो तो जानता मुरदार[एक पत्थर] संग हूँ हूँ वह शिगुफ्ता दिल कि न दोज़ख में तंग हूँ आहरन तो आग मैं हूँ मगर लाला रंग हूँ हैं सबसे पहले मेरे उठाने के फिक्र में महफिल में उनकी मैं किसी चौसर[खेल] का रंग हूँ दिल बैठा महो ज़ब्त है और मुझको इज़्तराब[विक्षप्तवस्था] दिल मेरा मुझसे तंग है मैं दिल से तंग हूँ परवाना गर नहीं तो नहीं पर हूँ शोला दोस्त मक्खी भी हूँ तो हाल दहाने तफंग[बन्दूक की नोंक] हूँ

zauk ki shayyiri

rakhta zabas[itna zayda] ki zefaye[bad smelled animal] duniya se nang[hateble] hun
paaras bhi ho to jaanta murdaar[ek pathar] sang hun
hun veh shigufta dil ki na dauzhak mein tang hun
aahran toh aag main hun magar lalaa rang hun
hain sabse pehle mere uthane ke fikar mein
mehfil mein unnki main kisi chausar [game] ka rang hun
dil baitha maho zabt[sabar karna] hai aur mujhko izatraab
dil mera mujhse tang hai main dil se tang hun
parwana gar nahin toh nahin par hun shola dost
makhi bhi hun toh haal dahane tafang[banduk ki nauk] hun

zauk ki shayyiri

कोह[पहाड़] के चश्मों[सोतों] से अश्कों को निकलते देखा ऐ सनम पर तेरा पत्थर न पिघलते देखा था मैं इस आग में नख्ले[पेड़] गुले आतिशबाजी फूलते देखा मगर आह, न फलते देखा जो चढा औज़[ऊचाई] फ़ना पर वो गिरा साया नमत्त[भांति] पाँव उस कोठे पे है सबको फिसलते देखा कुये[गली] जानां में है दिल जैसा गया काबू से हमने बच्चे को भी ऐसे न मचलते देखा अश्क को लेता न दामन में तो कया करता मैं गाहवारा[झुला] में यें लड़का न सँभालते देखा कुये जानां से हम और खिरद[स्वर्ग] से आदम निकले उनको देखा नहीं पर हमको निकलते देखा खानये दिल के सिवा आतिशे ग़म से ऐ ! "ज़ौक" सामने आँखों के घर किसने है जलते देखा

zauk ki shayyiri

koh[hills] ke chasmo se ashkon ko nikalte dekha ae sanam par tera pathar na pighalte dekha tha main iss aag mein nakhle[tree] gul-e-aatishbazi foolte dekha magar aah, na falte dekha jo chad auz[height] fana par vo gira saaya namat[tarah] paanv uss kothe pe hai sabka paanv phislte dekha kuye[galli] jaana mein hai dil jaisa gaya kaabu se humne bacho ko bhi aisa na machlte dekha ashk ko leta na daaman mein toh kya karta main gahvara[jhula] mein ye ladka na sambhalte dekha kuye-jaana se hum aur khirad[swarg] se aadam nikle unnko dekha nahin par humko nikalte dekha khan'aa-e-dil ke shiva aatish-gam se ae ! "zauk" saamne aankhon ke ghar kisne hai jalte dekha

zauk ki shayyiri

kasad[irada] jab teri jiyarat[darshan] ka kabhi karte hain chasm pur aab se aaiine vazu[munh dhona] karte hain karte izhaar hain dar parda[on back] adaavat apni kyun mere aagay jo taarif aduu karte hain dil ka ye haal hai fa't jaaye hai sau jaa[jagah] se aur agar ik jaaye se hum issko rafuu karte hain toden ik naala se iss kaaspe[aasman] gurdu ko magar nosh[peena] hum iss mein kabhi dil ka lahu karte hain kade-dil-zu[premika ki uchai] ko tumhare, nahin dekha sayyad sar-kashi[vidroh] itni jo sarve labe zu[river side's tree] karte hai

zauk ki shayyiri

kaun-sa humdam hai tere aashik-e-bedam[murda] ke paas raam hai uss paas humdam aur vo hai dam ke paas humko kya saaqi jo tha jaame jahan "' zam'[name of a king]ke paas tere zaame baada[madira] ho toh uss pur_gam ke paas kisiki kismat hai ki zakhm-e-teq[sword] kaatil ho naseeb jaan se jaayen, na jayenge magar marham ke paas shab zaar jaan ruk gayi lab par dahan[munh] ke paas phir uthke reh gaya ye musafir vatan ke paas yeh jua'ye[nehar] khu rawa nahin dekho hai roa raha tesha[kulhadi]sar apne rakhke sar-e-kohkan[farhaad] ke paas

zauk ki shayyiri

क़स्द[इरादा] जब तेरी ज़्यारत[दर्शन] का कभी करते हैं चश्म पुर आब से आईने वजू[मुंह धोना] करते हैं करते इज़हार हैं दर पर्दा[पीठ पीछे]अदावत अपनी क्यूँ मेरे आगे जो तारीफ़ अदू करते हैं दिल का यें हाल है फट जाएहै सौ जा[जगह] से और अगर इक जाए से हम इसको रफ़ू करते हैं तोडें इक नाला से इस कासपे गर्दूं को मगर नोश[पीना] हम इसमें कभी दिल का लहू करते हैं कड़े-दिल-जू[प्रेमिका कि ऊंचाई] को तुम्हारे, नहीं देखा शायद सर कशी[विद्रोह] इतनी जो सरवे लबे जू[नदी किनारे के सरो के पेड़] करते हैं

zauk ki shayyiri

कौन-सा हमदम है तेरे आशिके बेदम[मुर्दा] के पास राम है उस पास हमदम और वो है दम के पास हमको कया साकी जो था जामे जहां बीं जम[name of a king] के पास तेरा जामे बादा[मदिरा] हो और तू हो उस पुर गम के पास किसकी किस्मत है कि ज़ख्मे तेग़[तलवार] कातिल हो नसीब जान से जायेंगे,न जायेंगे मगर मरहम के पास शब ज़ार जान रुक गयी लब पर दहन[मुँह] के पास फिर उठके रह गया यें मुसाफिर वतन के पास यह जुये[नहर] खू रवां नहीं देखो है रो रहा तेशा[कुल्हाडी] सर अपना रखके सरे कोहकन[फरहाद] के पास

zauk ki shayyiri

usse humne bahut dhoondha, na paaya ! aagar paaya toh khoj apnaa na paaya !! jis insan ke sagay[dog] duniya na paaya ! farishta usska hum[equal]paaya, na paaya !! mukadar hai yeh gar sudo zayan[profit-loss] se ! toh humne yaan na kuch khoya, na paaya !! lahed[kabar] mein bhi tere muztar[insan] ne aaram ! khuda jaane ki paaya, ya na paaya !! kiya tha ya na tha sab hum pe guzta ! falak tune kiya apna, na paaya !! suraag-e-umar-e-rafta[gone] haath kya aaye ! kahin jiska nishane pa[feet] na paaya !! kare kya sair dil mulk-e-fana ki ! ki iss baazar mein sauda na paaya !! falak ke gumbad bedaar se hum toh ! nikal jaate magar rasta na paaya !!

Saturday, December 20, 2008

"daag" ki shayyiri

किस का तुर्रह, किस का गेसू, किस का काकुल, किसकी जुल्फ
सब बलाएँ हो गयी, जब परेशां हो गया
दिल में ले दे के रहा ठा एक कतरा खून का
कुछ निसार-ए-गम हुआ, कुछ सर्फ़-ए मिज़गां[पलकों पर व्यर्थ]हो गया
बोसा लेकर दिल दिया है और फिर नालाँ[नाराज़]है 'दाग'
कोई जाने मुफ्त में हज़रात का नुकसाँ हो गया

"daag" ki shayyiri

kis ka tarurah, kis ka gayso, kis ka kaakul, kiski zulf
sab balyen ho gayi, jab dil parehsan ho gaya
dil mein le de ke raha tha ek katra khoon ka
kuch nisar-e-gam ha kuch sarf-e-mizgan[waste on eyes] ho gaya
bosa le kar dil diya hai aur phir naalan[naaraz] hai 'daag'
koi jaane muft mein hazrat ka nuksan ho gaya

"daag" ki shayyiri

आँखें खुली हुई हैं पस-ए-मर्ग[मरने के बाद] इसलिए
जाने कोई कि तालिब-ए-दीदार मर गया
किस बेकसी[असहाय]से 'दाग' ने अफ़सोस जान दी
पढ़ कर तेरे फिराक[जुदाई]के अशआर[कवितायें]मर गया

"daag" ki shayyiri

aanhein khul hui hai pas-emarg[marne ke baad] iss liye
jaane koi ki taalib-e-deedar marr gaya
kis bekasi se 'daag' ne afsoos jaan di
padh kar tere firaak[judai] ke aashar[poems] marr gaya

"daag" ki shayyiri

गैर के साथ दिल में भी देखा
कभी तन्हा नज़र नहीं आता
कोई दिल तेरे एहद[समय] में ज़ालिम
बे-तमन्ना नज़र नहीं आता
दिल का आइना देखने को बना
पर जो चाह नज़र नहीं आता
हमीं ऐ ! 'दाग' कोर-बातिन[अन्तरांत] हैं
वर्ना वो कया नज़र नहीं आता

"daag" ki shayyiri

gaiir ke saath dil mein bhi dekha
kabhi tanha nazar nahin aata
koi dil tere ehad[time] mein zaalim
be-tamanna nazar nahin aata
dil ka aaiina dekhne ko bana
par jo chaha nazar nahin aata
hamin ae ! daag kaur-baatin hain
varna vo kya nazar nahin aata ????

"daag" ki shayyiri

सबब खुला ये हमें उन के मुँह छुपाने का
उड़ा ना ले कोई अंदाज़ मुस्कुराने का
ज़फाएँ करते हैं थम थम के इस ख्याल से वो
गया तो फिर ये नहीं मेरे हाथ आने का
खता मुआफ, तुम ऐ ! 'दाग' और ख्वाहिश-ए-वसल
कसूर है ये फकत उन के मुँह लगाने का

"daag" ki shayyiri

sabab khula ye hamen unnke muh chhupane ka
uda na le koi andaaz muskurane ka
zaffein karte hain tham tham ke iss khayal se vo
gaya toh phir ye nahi mere haath aane ka
khata mauf, tum ae ! 'daag' aur khawish-e-wasal
kasoor hai ye fakat unnko muh lagane ka

"Daag" ki shayyiri

उसकी महफिल से कहूं कया दिल को क्यूँकर ले चला
हार कर इक बार छोडा फिर मुकर्रर[again] ले चला
बाँध कर मुश्कें[haath-paar] ख्याल-ए-जुल्फ-ए-दिलबर ले चला
सांप के मुँह में मेरा मुझको मुकदर ले चला
चल दिया वो शोब्दा-गर[jadugar] मैं यह कहता रह गया
उसको लेना, वो कोई दिल को चुरा कर ले चला
खूब रिजवान[gate-keeper] से दर-ए-फिरदौस[heaven's gate] पर झगडे huye
जब बुत-ए-काफिर को मैं दिल में छुपा कर ले चला
मंजिल-ए-मक़सूद[wish] तक पहुंचे बड़ी मुश्किल से हम
जौफ[weakness] ने अक्सर बिठाया, शौंक अक्सर ले चला

"Daag" ki shayyiri

usski mehfil se kahoon kya dil ko kyunkar le chala
haar kar ek baar chhoda phir mukrar[again] le chala
baandh kar muske[haath-paar] khayal-e-zulf-e-dilbar le chala
saanp ke muh mein mera mujhko mukadar le chala
chal diya vo shobda-gar[jadugar] main yeh kehta rah gaya
ussko lena, vo koi dil ko chura kar le chala
khub rizwaan[gateman of heaven] se dar-e-firdaus[heaven's door] par jhagde huye
hab buut-e-kaafir ko main dil mein chupaa kar le chala
manzil-e-makduus[wish] tak pahunche badi mushkil se hum
zauf[weakness] ne aksar bithaya, shaunk aksar le chala

Thursday, December 18, 2008

hum ko gali mein dekh ker khudh ko chupa liya
ye dushmano ne kya uss ko sikha diya
ghar jo uss ne banaya Masjid ke samne
chahat ne uss ki hum ko namazi bana diya
kisse teri nazar ne sunaye na phir kabhi
ham ne bhi dil ke daag dikhaye na phir kabhi
ai yaad-e-dost aaj tuu jii bhar ke dil dukha
shayad ye raat hijr ki aaye na phir kabhi
apna bhi dard mujhko mere raazdar de
kuch apni zindgi pe mujhko ikhtiyar de
aisa na ho ki kal tu mera saath chod de
jitna nibha sake itna hi pyar de
khamosh se rehne lage ho....
intezar kisika karne lage ho....
yakinan kisise hui hai mohabbat....
tabhi bina baat muskurane lage ho....
rok dete hai sharriat ke taakkaze varna
tere zikar ko har zikar se afzal kardo.........
khamosh thay hum aur tumne magroor samjh liya
chup thay hum aur tumne majboor samjh liya
yehi galti ki tumne......................
kitne karib thay hum aur tumne duur samjh liya
uss ne anjaane mein hum ko rula diya
uss ne duniya ke liye humay bhula diya
hum to waise bhi akele or tanha thay
kya hoa jo uss ne ehsas dila diya...............
uddas lamhon ka na koi malaal rakhna
toofan mein bhi wajood sambhal rakhna
kisi ke liye shart-e-jindgi tum ho....
kisi ki khatir hi apna khayal rakhna........
kabhi jo hum nahi honge
kaho kis ko bataaoge
wo apni uljhane saari
wo bechaani main doobe pal
wo aankhon mein chupay aanso
kaho kis ko dikhaoge
bahut bechan hoge tum
bahut tanha reh jaoge
abhi bhi tum nahi samjhe
hamari ankahi batien
magar jab yaad aayegi
bahut tum ko rulayengi
kabhi jo hum nahi honge..........
बन जाऊं अगर तुमसा तो
तुम्हे कैसा लगेगा !
हर पल मैं रहूँ तुमसे खफा
तुम्हे कैसा लगेगा !
पढ़ते हो जो तुम मुझे
नामाजों की तरह
हो जाऊं अगर तुमसे काजा
तुम्हे कैसा लगेगा !

तुम प्यार में खुद को
मिटाने पर हो राज़ी
बन जाये अगर प्यार सजा तो
कैसा लगेगा !

खुद से भी जयादा हो यकीन
तुमको कीसी पर
वो शख्स ही दे जाये दगा तो
कैसा लगेगा !

तुम औरों की महफिल का
दीया बन के जलो
और
तन्हाई मीले तुमको सीला
तो फीर कैसा लगेगा !
ban jaaon agar tumsa toh
tumhe kaisa lagega !
har pal main rahoon tumse khaffa
tumhe kaisa lagega !

padhte ho jo tum mujhe
namazoon ki tarha
ho jaaon agar tumse qaza
tumhe kaisa lagega !

tum pyar mein khud ko
mitaane par ho raazi
ban jaaye agar pyar saza toh
kaisa lagega !!

khud se bhi jayada ho yakeen
tumko kisi par
wo shaks hi de jaaye dagaa toh
kaisa lagega !!

tum auroon ki mehfil ka
diya ban ke jalo
aur
tanhai milay tumko sila
to phir kaisa lagega !
Baat rakhi dil me baat kahe na sake,
yaad kiya aapko to saans le na sake,
puchha kisine dilko k tune pyar kis se kiya,
jaante the, phirbhi tumhara nam le na sake.
"na jaane kon sa aasheb dil mein basta hai
ki jo bhi thahra vo akhir mukaam chod gaya
haath seene pe rakh ke na dikhao mujhko
mere toote hoye dil ki vo sada yaad karo
maine maana ki vafadaar nahi hun,lekin
tum kisi aur ko iss tarah barbaad na karo"

Hamare mehboob sankdo hai
Tumhare sheda hazaroon hongay
Na tum se sikva na hum pe sikva
Gila karoge ! gila karengay
Bura kahoogay ! bura kahengay

Meine maana ki vafadaar nahi hoon lekin
Tum kissi aur ko iss tarah barbaad na karo
Hamari shart-e-wafa yahi ha, wafa karoge ! wafa karenge
Hamara milna hai aisa milna mila karoge ! mila karenge

Hamara pina pilana kiya hai ?
Hamara pina pilana ye hai
Pilogay tum ! pilaengay hum
Piya karoge ! piya karenge

Ye poochna ki kiya khat likhoge ?
Ye pochnay ki nahi zaroorat
Tumhari marzi pe hai munhsar
Likha karoge ! likha karenge
unnke liye jab humne bhatakna chhod diya,
yaad me unki tadpana chhod diya,
wo roye bahut aakar tab hmare paas,
jab hmare dil ne dhadkana chhod diya
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye
rabba koi toh bataye, pyar hota hai kya
jaisa mujhe ho gaya,sab ko hota hai kya
rabba koi toh bataye,chain hota hai kya
jaisa mera kho gaya, sab ka kho'taa hai

khayalo ke baago mein, main jab khadi thi
tabhi ek gul ne aawaz di thi....................
kali si mehakne lagi tu kyu gori.....................
chalkne lagi kyu ye gaagar kori...............
phool poochta raha, main sochti rahi....................
raat dhalti rahi, main sochti rahi................
rabba koi toh bataye, roop hota hai kya............
jaisa mera khil gaya sab ka khilta hai kya.................

hum toh ooche gagan mein uddne lage...........
ek dooje se jaise judne lage..............................
rabba koi toh bataye, meet hota hai kya...........
jaisa mujhe mil gaya sab ko milta hai kya...............
nakhuda maan ke baithe hai jinki kashti mein,
woh hume maujo mein le aye hai dubone ke liye,
woh hawaon ki tarah rukh badal lete hai,
hum naseebon se ladhe the jinhe pane ke liye.
Karni khuda se ek fariyad baki hai...
mere mann mein ek murad baki hai...
maut ayegi toh keh denge khuda se...
MERE DOST SE MERI EK MULAQAT BAKI HAI
toot jaate hai sabhi riste magar
dil se dil ka rabta apni jagah
dil ko hai tujhse na milne ka yakeen
tujhse milne ki dua apni jagah
ek shakhs paas reh kar bhi samajha naheen mujhe
iss baat ka malaal hai shikva nahin mujhe
main usko bewafai ka ilzaam kaise doon
uss ne to ibteda sey hi chaha nahin mujhe
kya kya umeedein bandh ke pohncha tha samne
uss ne toh aankh bhar ke bhi dekha naheen mujhe
patthar samajh ke paaon ki thokar bana diya
afsos teri aankh ne parkha nahin mujhe
mujhko bhi theharna na tha uss ke nagar main ab
achha hua ke usne bhi roka nahin mujhe
jindgi mein log bohat jaan nisaar they
main mar gaya to koi bhi roya nahin mujhe
"कल फुरसत न मिली तो क्या करोगे ?
इतनी मोहलत न मिली तो क्या करोगे ?
रोज हमे रुला देते हो करके उदास,
कल अगर हमारी आँखें ही न खुली तो क्या करोगे ?"
"दील जब टूटता है तो आवाज़ नहीं होती
हर कीसी को मुह्बत रास नहीं आती
ये तो अपने नसीब की बात है
कोई भूलता ही नहीं और किसीको याद ही नहीं आती !!"
* * * *
"dil jab toot'ta hai toh aawaz nahi aati
har kisi ko muhabat raas nahi aati
ye toh apne naseeb ki baat hai
koi bhulata hi nahi aur kisiko yaas hi nahi aati !!"
आज फिर दिल का जाम तोड़ आया हूँ
किसी की महफिल में तन्हाई छोड़ आया हूँ
कोई पूछे न हमसे यह हाल हुआ कैसे
बेहाल ए जिस्म किसी की निगाहों में छोड़ आया हूँ !
मत देख कि कोई शख्स गुनाहगार कितना है,
ये देख कि तेरे साथ वफ़ादार कितना है,
ये मत सोच कि उसे कुछ लोगों से नफ़रत है,
ये देख उसको तुझसे प्यार कितना है !
लम्हा लम्हा साँसे ख़तम हो रही है
जिनदगी मौत के पहलू में सो रही है
उस बेवफा से मत पूछो मेरी मौत की वजह
वो तो बस ज़माने को दिखाने के लिए रो रही है
lamha lamha sansien khatam ho rahi hai
jindgi maut ke pahoo mein so rahi hai
uss bewaffa se mat poocho meri maut ki wajah
vo to bas jamane ko dikhane ke liye ro rahi hai
आँखे तक रही है सूनी राहों को, इन्तजार किसका है
किससे रखे हम वफ़ा की उम्मीद, ऐतबार किसका है
हम जानते है की मिलता है इश्क में सिर्फ जख्म
फिर भी अपने दिल पर अपना अधिकार किसका है
खींच लाये जो मुझे मौत से ज़िन्दगी की तरफ
आज के दौर में इतना पावन प्यार किसका है
बसा ले जो तुझे अपने तन मन में ऐ "ब्रह्मा"
इस कदर दिल आज इतना बेकरार किसका है
तुम दवा दो या अब दे दो ज़हर ही मुझको
ऐसी हालत में मरने से आज इनकार किसका है
tu kahin bhi rahe, tujh par yeh ilzaam toh hai,
tere haathon ki lakeeron me, mera naam toh hai,
tu mujhe apna maan ya naa maan,
tu zamaane mein mere naam se badnaam toh hai
majboori kya thi unhone batai to hoti
judai ki baat yun sunai na hoti
apne kabar ki mitti bhi de dete unnhe
meri maut ki khwaish jatayi toh hoti.......
yu mile ki mulaqat na ho saki,
honth kaampe magar suruat na ho saki,
meri har nigah ek dastan keh gayi,
aur unki sikayat hai ki koi baat na ho saki
mujhe darr hai kahi wo hadso se darr nahi jaye,
mujhe darr hai akela hai kahi kuch karr nahi jaye,
khuda meri duao me ashar itna to rakh dena,
agar wo dubna chahe to dariya hi utar jaye...
tere dil-ye-khas se mohabbat ki hai
tere ehsas se mohabbat ki hai
tu pass nahi hai fir bhi teri yaad se mohabbat ki hai
mai tumhe kis tarah bhul sakta hu
maine teri pyas se mohabbat ki hai
kabhi tune bhi mujhe yaad kiya hoga
maine un lamhat se mohabbat ki hai
jin mai ho sirf teri meri batein
maine us waqt se mohabbat ki hai
or jo mehka ho teri hi khushboo se
us zazbaat se mohabbat ki hai
tujhse milna to ab khawab sa lagta hai
maine tere intzaar se mohabbat ki hai
कुछ खताये हमेसे हो गयी तो भूलजा
सिर्फ इतनी सी खतासे रूठ के ना दूरजा
हम तो जुदा होके तुजसे ना जी प्येंगे
ये जान के भी तू जी पाये तो जरुरजा
अरमां है, तुम्हारे दर्दे गम की दवा हो जाऊँ
कभी फूल, कभी शोला, कभी शबनम हो जाऊँ
तुम्हारी आँखों में रचूँ - बसूँ, तुम्हारे दिल में रहूँ
तुमसे दूर होने की सोचूँ, तो तनहा हो जाऊँ
हर मुहब्बत दुलहन बने, जरूरी तो नहीं
इश्क इबादत है मेरी, कैसे मैं खुदा हो जाऊँ
मुझसे हँस -हँस के लोग पूछते हैं नाम तुम्हारा
खुदा का नाम बता दूँ और रुसवा हो जाऊँ
तुम्हारा प्यार समंदर है, डूबा जा रहा हूँ मैं
रोक लो मुझको इससे पहले मैं फ़ना हो जाऊँ
ग़म ने खुद आके दिया है सहारा मुझको
मैंने कब माँगा था हाय कि मैं उसका हो जाऊँ
mujhe mehsoos bhi na hone diya
yun kahani ko uss ne mod diya
milne julne aur baat karne main kami ki pehle
phir rafta rafta ussne mujhe chod diya
humne toh chod diya thaa jeena kab ka
teri yaadon ke sahaare hi jiye baithe hai
nahi armaan ab iss dil mein koi bhi
jeene ki tumko juban diye baithe hai
yun badi der se paymaana liye bathien hai
koi dekhe toh yeh samjhe....
piye baithin hai........
zindagi bhar ke liye
rooth kar jaane wale,
hum aaj bhi apne hathon mein
teri tasveer liye baithe hai !!
yahi andaaz to bas unke sitam dhaate hain
Na wo rukte hain, na aane ki kasam khaate hain
jab bhi poochon kaun hun main
aaina aks tera dikha deta hai
soch mein padh jaati hun main
kis ki aawaj kaun sada deta hai
khud rehta hai virano mein jaa ke
aur mujhko baharon ki dua deta hai
na jaane kya hai uss ke dil mein
kar ke daga duur se waffa deta hai
jindgi ko barbaad kiye baitha hun
main tera intzaar liye baitha hun
jaane kab hone vaade mukamal
main dil mein fariyaad liye baitha hun
tere aane ki nahi koi umeed mujhe
phir bhi dil-e-bekraar liye baitha hun
jaanta hun nahi ho sakti tu meri
phir tujhe paane ki aas liye baitha hun
mera saaki se naata jodne wale,
main aaj bhi tere dar pe fariyaad liye baitha hoon
mere saath jeene marne wale
tu nahi to dil me teri yaad liye baitha hoon
ek tu jo aaj bhi anjaan hai meri wafaon se
aur ek main jo apni mohabbat ki wafaat liye baitha hoon
jo na socha kabhi wo bhi aaj karna pada mujhe,
tere liye khuda ke saamne dil-e-ilhaad liye baitha hoon
bas ek tu na aai meri mayyat me 'farha'
dekh aaj apne peeche kitni jamaat liye baitha hoon
tere nam te likh deva jindagi sari,
har janam ch milan da kar vada,
je phul bane tu,phul banna mein v,
iko tahni te khilan da kar vada.....
woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukar iss dil-e-bimaar ko aaraam to hai.........
apne dil mein chupa lo to koi baat bane
mujhko tum apna bana lo to koi baat bane
rehta hoon har ghadi be_chain main tumhare liye
tham kar haat mera tum apna bana lo to koi baat bane
mere dil ki hai dua tum ho jaao mere
tum bhi dua ke liye haat uthao to koi baat bane
is dil mein basaya hai sirf tumhein humne
tum bhi apne dil mein basa lo humein to koi baat bane
hum ko maloom hai, jannat ki haqeeqat,lekin
dil ko khush rakhne ko,"galib" ye khayal achcha hai
unke dekhne se jo aa jaati hai muh par raunaq
woh samajhte hai ke bimaar ka haal achcha hai
ye teri bhi aankhon ka kasoor hai..............
main tanha gunahgaar toh nahi................
jo aala zarf hote hai, wo sar kham hi rakhte hai
suraahi khud nagoon ho kar bhara karti hai paimane
har dard ki dawa ishq mein hai
jeene ka mazaa ishq mein hai
jo idhar udhar dhoondte hai khuda ko,
koi unse jaa kar kehdo ki khuda ishq mein hai.
Dil naa-umid to nahi, nakaam hi to hai.
lambi hai gam ki sham, magar yeh sham hi to hai.
har chehre mein tera hai chehra
har khushbu mein teri mahak hai
mujhko bahakna tune seekhaya
sambhalunga main, ye tera vaham hai
tum se manzil ka nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii,
rishta safar ka hai meraaaaaaaa!
ye zaroori to nahi sath chala bhi jaye,
ye zaroori to nahi tum se mila bhi jaye!
ab na hoga raabta kehna usse
jis pe hum chalte rahe hain saath saath
kho gaya woh raasta kehna usse
teri yaadein Dil se rukhsat hogayin
ho chuka yeh saniha kehna usse
ab na dekhenge tumhara raasta
dil ko hum samjha chuke kehna usse
chain se sone na dega gham tujhe
raat bhar ab jaagna kehna usse
aashna ban ker na milna raah main
dosti ek khuwaab tha kehna usse
mud kar peeche dekhte hum bhi nahi
soch ker muh pherna kehna usse….
mujh ko kal sham se woh yaad bohut aane laga
dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
ishrat tere sawal ka main kiya jawab doon
khud apne aap ko bhi mayasar nahi hoon mein
dil ki tadap neelaam hui hai
ab ye kahani aam hui hai
pyar wanha tak ja pohncha hai
akal janha nakam hui hai
adhoori saans thi
dhadkan adhoori thi
adhooren ham
magar ab chaand poora hai falak pe
aur ab pooren hain ham
rone de aaj hamko
tu aankhen sujaane de
baahon mein le le
aur khud ko bheeg jaane de
hai jo seene mein qaid dariya
woh choot jaayega
hain itna dard ke
tera daaman bheeg jaayega
ARMAAN-E- MAHAL HO GAYA MASMAAR KISI KI
BHUCHAAL SE KUCH KAM NAHI THA INKAAR KISI KA
mujhse milte ho tishnagi ban kar
mil bhi jaao kabhi nadee ban kar
dhoondti hai nazar khuda ko kanha
dil mein rehta hai jo jindgi ban kar
unn ki ankho mein jab bhi dekha hai
paa liya khud ko bekhudi ban kar
jaam lab se hoya hai wa-basta
rishta kayam hai ashqi ban kar
justjo ki kashish hi baaki hai
milte rahte hai ajnabi ban kar
teri duniya ko yoon sajayenge
hum khayalo mein saadgi ban kar
yun sikhiat nahi na taluk hai
milte rehte hai berukhi ban kar
husn har raat ka uon baanta hai
tere pehlo mein chandni ban kar
Kabhi haadson ki dagar mile
Kabhi muskilon ka safar mile
Meri Manzilay abhi door hai
Mujhe rastoon ki talash hai
Koi ho safar mein jo saath de
Mein Ruko jaha koi haath de
Meri manjilye abhi door hai
mujhe raston ki talash hai
dard-e-dil toh rukne ka ab naam nahi leta hai
sabr-e-dil bhi mera ab kaam nahi leta
jab se bakshay hai meri ankho ko ashoo tunay
tab se deewana bhi ab aram nahi leta hai
itna sang-dil hai ki barbaad woh karke mujhe
apne sar koi ilzam nahi leta hai
ye inyaat bhi nahi kam mere harzai ki
zakhm deta hai magar dam nahi leta hai
jo ki rusvai se darta hai bahut woh ‘ishrat’
woh mera nam sar-e-aam nahi leta hai
dil toh humne hi lagaya hai,aap chup koun hai
daav yeh humne gavaya hai.aap chup koun hai
log kya kya nahi kahte hai humay duniya mein
aap ka nam bhi aaya hai,aap chup koun hai
yeh toh kahiye ki nazar koun hai khoi khoi hoi
bheyad kya humse chipaya hai,aap chup koun hai !
dard-e-dil tham ke sahte hai,hum toh chup hi hein !
log kya kya nahi kehte hai,hum toh chup hi hein !
aap koun dil ke tadapne ka bura maan gaye
aapse kuch nahi kahte hai,hum toh chup hi hein !
hum khatavaar nahi hai dil ke behak jaane ka
ye kagar aap hi dhate hai,hum toh chup hi hein !
jab tak saroor hoga nashe ka na ae zafar
hum unse aur humse woh sharmay jaayenge
zindgi phir koi paate toh aur kya karte
aapse dilna lagate toh aur kya karte
aapke pyar ki pehchan mangte thay log
sar hum apna na katate toh aur kya karte
talab gam ki khushi se badh gayi hai
ye chahat khushi se badh gayi hai
koi aayega sayad aaj ki raat
tadap kuch sham hi se badh gayi hai
ye kiya kam hai teri charcha shahr mein
meri diwangi se badh gayi hai
ae gam-e-jindgi kuch toh de masvara
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
dil ka dono se hai kuch na kuch vaasta
mein kahan jaoon hota nahi faisla
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
uss ke darr se utha toh kidhar jaaonga
mahkada chod doonga toh mein marr jaonga
sakhat muskil mein hoon kiya karoon ae khuda
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
jindgi ek hai aur talabgaar do
jaan akeli magar jaan ke haqdaar do
dil bataa pehle kis ka karoon mein haqq ada
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
iss taluq ko mein kaise todoon jafar
kisi ko apnao mein kis ko chodoon jafar
mera dono se rishta hai nazdeek ka
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada

wel come