Monday, June 15, 2009

abdul hameed adam ki shayyiri

maikada tha chandani thi main na thaa
ik mujassam bekhudi thi main na tha
ishq jab dam todta tha tum na thay
maut jab sar dhun rahi thi main na thaa
tuur par chheda tha jis ne aap ko
vo meri diwaangi thi main na tha
maikade ke mod par roktii huii
muddaton ki tashnagi thi main na tha
main aur uss gunchaadahan ki aarzu
aarzu ki sadagi thi main na tha
gesuuon ke saaye mein aaram-kash
sar-barhana zindgi thi main na tha
dair-o-kaaba mein 'adam' hairat-farosh
do jahan ki bad_zani thi main na tha

No comments:

Post a Comment

wel come