Monday, June 15, 2009

abdul hameed adam ki shayyiri

jo log jaan buujh ke nadan ban gaye
mera khayal hai ki vo insan ban gaye
ham hashr mein gaye magar kuch na puchhiye
vo jaan bujh kar vahan anjaan ban gaye
hanste hain hamko dekh ke arbaab-e-aagahi[intellectuals]
ham aap ki mizaaj ki pehchan ban gaye
majhdhar tak pahunchana toh himmat ki baat thi
saahil ke aas paas hi tufan ban gaye
insaniyat ki baat toh itani hai shekh ji
bad_qismati se aap bhi insan ban gaye
kaante bahut thay daman-e-fitarat mein ae 'adam'
kuch phuul aur kuch mere armaan ban gaye

No comments:

Post a Comment

wel come