Monday, June 15, 2009

ahmad ali barqi azmi ki shayyiri

tawajjuh aapki kam ho na jaye
mizaj-e-yaar barham ho na jaye
jo hai shama-e-shabistan-e-mohbbat
kahin lau usski maddham ho na jaye
junoon-e-shauq mein mujhko yeh darr hai
khushi mein zam kahin gham ho na jaye
neshat-o-kaif-o-sarmasti ka saamaan
achanak bais-e-gham ho na jaye
nasheman barq ki zad mein hai mera
kahin yeh fasla kam ho na jaye
khamida pusht hai baar-e-geraan se
kahin yeh aur bhi kham ho na jaye
chalo 'ahmad ali barqi' yahan se
kahin duniya jahannum ho na jaye. .

No comments:

Post a Comment

wel come