Sunday, June 14, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

woh koi aur na tha chand khushk patte thay
shjar se toot ke jo fasl-e-gul pe roye thay
abhi abhi tumhen socha toh kuch na yaad aaya
abhi abhi toh hum ek-dusre se bichde thay
tumhare baad chaman par jab ik nazar dali
kali kali mein khizan ke chiragh jalte thay
tamaam umar waffa ke gunah_gaar rahe
ye aur baat ki hum adami toh achche thay
shab-e-khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahad gujte thay dasht san_sanate thay
vo ek baar mare jinko tha hayat se pyar
jo zindgi se gurezan thay roz marte thay
naye khayal ab aate hain dhal ke zahan mein
hamare dil mein kabhi khet lah_lahaate thay
ye irtiqa ka chalan hai kai har zamane mein
purane log naye adami se darte thay
'nadeem' jo bhi mulaqat thi adhoori thi
ki ek chehre ke pechhe hazar chehre thay

No comments:

Post a Comment

wel come