Saturday, June 13, 2009

akhgar panipati ki shayyiri

hazar zakhmon ka aaina tha
gulaab sa jo khila hua tha
meri nazar se teri nazar tak
kai sawalon ka faasla tha
khaloos ki ye bhi ik adaa thi
qareeb se vo guzar gaya tha
hamare ghar hain saraye faani
ye saaf diwaar par likha tha
tatol kar log chal rahe thay
ye chandni shab ka wakiya tha
talash mein kisi hasiin ghazal ki
rawaa'n khayalon ka kaafila tha
vo ek chirag-e-waffa tha 'akhgar'
jo tez aandhi mein jal raha tha

No comments:

Post a Comment

wel come