Saturday, June 13, 2009

akhtar ki shayyiri

duniya mein tere ishq ka charcha na karenge
marr jayenge lekin tujhe ruswa na karenge
qurban karenge kabhi dil, jaan bhi sadqe
tum apna bana logi toh kya kya na karenge
gustaakh nigahon se agar tumko gila hai
hum duur se bhi ab tumhen dekha na karenge
akhtar eh ghataein, yeh hawaein, yeh fizaein
tauba karen ? iss haal mein tauba na karenge

No comments:

Post a Comment

wel come