Friday, June 12, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

meri vaadi mein vo ik din yun hi aa nikali thi
rang aur nuur ka behta hua dhaara ban kar
mehafil-e-shauq mein ik dhuum macha di ussne
Khalvat-e-dil mein rahi anjuman-aara ban kar
shola-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune laga
udd gayi vo mere siine se sharara ban kar
aur ab mere tasavvur ka ufaq roshan hai
vo chamaktii hai jahaan gham ka sitara ban kar

No comments:

Post a Comment

wel come