Friday, June 12, 2009

javed akhtar ki shayyiri

shehr ke dukandaro, karobar-e-ulfat mein sood kiya zayan kiya hai, tum na jaan paoge
dil ke daam kitne hain, khab kitne mehange hain aur naqd-e-jaan kiya hai, tum na jaan paoge
koi kaise milta hai, phool kaise khilta hai, aankh kaise jhukti hai, saans kaise rukti hai
kaise raah nikalti hai, kaise baat chalti hai, shauq ki zuban kiya hai, tum na jaan paoge
wasl ka sakoon kiya hai, hijr ka junoon kiya hai, husn ka fasoon kiya hai, ishq ka daroon kiya hai
tum mareez-e-danaai, maslehat k shaidaai, rah-e-gumrahan kiya hai, tum na jaan paoge
zakhm kaise phalte hain, dagh kaise jalte hain, dard kaise hota hai, koi kaise rota hai
ashk kiya hai naale kiya, dasht kiya hai chaale kiya, aah kiya faghan kiya hai, tum na jaan paoge
na-murad dil kaise subah-o-sham karte hain, kaise zinda rehte hain aur kaise marte hain
tumko kab nazar aayi ghamzadon ki tanhai, zeest-e-be_amaan kiya hai, tum na jaan paoge
janta hun main tumko zauq-e-shayeri bhi hai, shakhsiyat sajane mein ik yeh mahiri bhi hai
phir bhi harf chunte ho, sirf lafz sunte ho, unnke darmayan kiya hai, tum na jaan paoge

No comments:

Post a Comment

wel come