Friday, June 12, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

kaam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raste bandh hain sab kucha-e-qatil ke siva
baa'is-e-rashq hai tanharavi-e-rah_rau-e-shauq
hamsafar koi nahin doori-e-manzil ke siva
ham ne duniya ki har ik shai se uthaya dil ko
lekin ik shokh ke hangama-e-mehfil ke siva
teg munsif ho jahan daar-o-rasan hon shahid
begunah kaun hai uss shehr mein qaatil ke siva
jaane kis rang se aayi hai gulshan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-silaasil ke siva,,

No comments:

Post a Comment

wel come