Friday, June 12, 2009

ali sardar jafri ki shayyiri

main jahan tumko bulata hun vahan tak aao
meri nazaron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
saath mere mere firdaus-e-javan tak aao
teg ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyam
teer ki tarah se aagosh-e-kamaan tak aao
phuul ke gird phiro baag mein manind-e-nasiim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke jahanum ki haden Khatm hui
ab hai firdaus hi firdaus jahaan tak aao
chhod kar vaham-o-gumaan husn-e-yahqin tak pahuncho
par yaqiin se bhi kabhi vaham-o-gumaan tak aao

No comments:

Post a Comment

wel come