Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

apne ghar ki khidki se main aasman ko dekhunga
jis par tera naam likha hai , uss taare ko dhoondunga
tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
main bhi roz ek khwaab tumhare shehar ki jaanib bhaejunga
hizr ke dariya mein padhna lehron ki tehreerien bhi
paani ki har satar pe main kuch dil ki baatien likhunga
jis tanha se ped ke neeche hum barish mein bheege thay
tum bhi ussko chhu ke guzarna, main bhi usse liptunga
khwaab musafir lamhon ke hain , saath kahan tak jaayenge
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochunga

No comments:

Post a Comment

wel come