Tuesday, June 23, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

zamiin jalti hai aur asmaan toot’ta hai
magar gureiz karein hum toh maan toot’ta hai
koi bhi kaam ho anjaam tak nahin jaata
kisi ke dhayan mein pal pal yeh dhayan toot’ta hai
ke jaise matn mein har lafz ki hai apni jagah
jo ek fard kate, karvan toot’ta hai
agar yehi hai adalat aur aap hain munsif
ajab nahin jo hamara bayaan toot’ta hai
waffa ke shehr ke raste ajeeb hain 'amjad'
har ek mod pe ek meherbaan toota hai

No comments:

Post a Comment

wel come