Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

bheed mein ek ajnabi ka saamna achcha laga
sab se chhup kar woh kisi ka dekhna achcha laga
surmai aankhon ke neeche phool se khilnae lage
kehte kehtae kisi ka sochna achcha laga
baat toh kuch bhi nahi thi lekin usska ek dam
haath ko honton pe rakh kar rokna achcha laga
chai mein cheeni milana uss ghadi bhaya buhat
zer-e-lab woh muskurata "shukriya" achcha laga
dil mein kitne ehad bandhe thay bhulane ke usse
woh mila toh sab irade todna achcha laga
uss adoye jaan ko 'amjad' main bura kaise kahon
jab bhi aaya samne woh be-waffa achcha laga

No comments:

Post a Comment

wel come