Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

chupke chupke asar karta hai
ishq kainsar ki tarah badhta hai
jo koi ji na sake marr jaaye
aap ka naam abas leta hai
kaun sunta hai kisi ki vipada
sab ke maathe pe yahi qissa hai
koi darta hai bhari mehfil mein
koi tanhai mein hans padta hai
yahi jannat hai yahi hai dozakh
aur dekho toh yahii duniya hai
sab ki qismat mein fana hai jab tak
aasmaanon pe koi zinda hai
vo khuda hai toh zamiin par aaye
hashr ka din toh yahan barpa hai
saans roke huye baitho 'amjad'
waqt dushman ki tarah chlata hai

No comments:

Post a Comment

wel come