Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri


ham thay hamare saath koi tisra na tha
aisa hasiin din kahin dekha suna na tha
aankhon mein usski tair rahe the hayya ke rang
palken utha ke meri taraf dekhta na tha
kuchh aise usski jheel si aankhen thi har taraf
ham ko sivaaye duubne ke rasta na thaa
haathon mein der tak koi khushbu basi rahi
darwaza-e-chman tha vo, band-e-qaba na tha
usske toh ang-ang mein jalne lage diye
jaadu hai mere haath mein mujhko pata na tha
usske badan ki lau se thi kamre mein raushni
khidki mein chand, taaq mein koi diya na tha
kal raat vo nigaar hua aisa multafit
akson ke darmiyan koi aaiina na tha
saanson mein thay gulab toh hoton pe chandni
inn manzaron se main to kabhi aashna na tha
roya kuch iss tarah mere shane se lag ke vo
aisa laga ke jaise kabhi be-waffa na tha
hai ishq ek rog, mohbbat azaab hai
ik roz ye kharab karenge, kaha na tha !
'amjad' vahan pe hadh koi rehti bhi kis tarah
rukne ko keh raha tha magar rokta na tha

No comments:

Post a Comment

wel come