Monday, June 15, 2009

anand narayan mulla ki shayyiri

sar-e-mahashar yahi puuchhuunga khuda se pehle
tune roka bhi tha muzrim ke khata se pehle
ashk aankhon mein hain hoton pe buka se pehle
qafila gham ka chala baang-e-dara se pehle
udd gaya jaise yakaayak mere shaanon par se
vo jo ik bojh tha tasleem-e-khata se pehle
haan yahan dil jo kisi ka hai ab aaiina-e-husn
warq-e-sada tha ulfat ki ziya se pehle
ibtida hi se na di zeest mujhe dars usska
aur bhi baab toh hain baab-e-raza se pehle
main gira khaak pe lekin kabhi tumne socha
mujhpe kya beete gayi lagzish-e-pa se pehle
ashk aate toh thay lekin ye chamak aur tadap
unn mein kab thi gham-e-ulfat ki ziya se pehle
dar-e-mai_khana se aatii hai sada-e-saaqi
aaj serab kiye jaayenge pyase pehle
raaz-e-mai_noshi-e-'mullah' hua afshan varna
samjha jaata tha vali lagzish-e-paa se pehle



No comments:

Post a Comment

wel come