Friday, June 12, 2009

bani ki shayyiri

na manzilen thi, na kuch dil mein tha, na sar mein tha
ajab nazara-e-laa_simtiyat nazar mein tha
ataab tha kisi lamhe ka ek zamane par
kisiko chaiin, na bahar tha aur na ghar mein tha
chhupa ke le gaya duniya se apne dil ke ghaav
ki ek shaks bohat taaq iss hunar mein tha
kisi ke lautne ki jab sada suni toh khula
ki mere saath koi aur bhi safar mein tha
jhijhak raha tha voh kehne se koi baat aisi
main chup khada tha ki sab kuch meri nazar mein thaa
abhi na barse thay baani ghire huye badal
main udti khaak ki manind rahguzar mein tha

No comments:

Post a Comment

wel come