Friday, June 12, 2009

bashir badr ki shayyiri

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar usske baad sahar na ho
vo bada raheem-o-kariim hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhulne ki dua karon toh dua mein meri asar na ho
mere baazuon mein thaki thaki, abhi mahav-e-khwab hai chandni
na uthe sitaron ki palaki, abhi aahaton ka guzar na ho
ye ghazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chandni
na bujhe kharabe ki roshani, kabhi becharag ye ghar na ho
vo firaq ho ya wisaal ho, teri yaad mahakegi ek din
vo gulab ban ke khilega kya, jo chirag ban ke jala na ho
kabhi dhuup de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se dono qabool hain
magar uss nagar mein na qaid kar jahan zindgi ki hawa na ho
kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke
yun hi saath saath chalen sada kabhi Khatam apna safar na ho
mere paas mere habeeb aa zara aur dil ke qareeb aa
tujhe dhadkano mein basa lun main ke bichhadne ka kabhi darr na ho

No comments:

Post a Comment

wel come