Wednesday, June 10, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

daalte kiyu ho dupat'te ka tum aanchal doosh par
baar thay pehle hi geesu-e-musalsal doosh par
pehle af'aae thin woh zulfein ab hoi'n mar-e-siyah
aai'n ab zeer-e-kamar rehti thi'n awal doosh par
shaakh-e-gul par kuch nazar kijiye ke sunbul ki taraf
dekhiye usski kamar ya zulf ka ball doosh par
le gai'n hai'n aaj toh ae 'daagj' woh seene se dil
sar salamat aap paane ke nahi kal doosh par

No comments:

Post a Comment

wel come