Monday, June 15, 2009

danish aligarhi ki shayyiri

do jawan dilon ka gham, duriyan samjhti hain
kaun yaad karta hai, hichakiyan samjhti hain
tum toh Khud hi qaatil ho, tum ye baat kya jaano
kyon hua main diwana, bediyaan samjhati hain
baam[ladder] se utarti hai jab hasiin doshiza[bride]
jism ki nazaakat ko, seediyan samjhti hain
yun toh sair-e-gulashan ko, kitne log aate hain
phuul kaun todega daaliyan samjhti hain
jis ne kar liya dil mein pehli baar ghar 'danish'
ussko meri aankhon ki putaliyan samjhti hain

No comments:

Post a Comment

wel come