Monday, June 15, 2009

dilawar figar ki shayyiri

jadaa-e-fan mein bade sakht muqaam aate hain
marr ke rah jaata hai fankaar amar hone tak
kitane gaalib thay jo paida huye aur marr bhi gaye
qadradaan ko takhallus ki khabar hone tak
kitne iqabaal rah-e-fikr mein uthe lekin
rasta bhuul gaye khatam-e-safar hone tak
kitne shabbiir hasan khaan na bane josh kabhi
marr gaye kitne sikander bhi jigar hone tak
faiz rang bhi ashaar mein aa sakta tha
ungaliyan saath toh den khuun mein tar hone tak
chand zarron hi ko milati hai ziyaa-e-khurshiid
chand taare hi chamakte hain sahar hone tak
dil-e-shayar pe kuch aisi hi guzarti hai 'figaar'
jo kisi qatre pe guzre hai guhar hone tak

No comments:

Post a Comment

wel come