Monday, June 15, 2009

faheem ki shayyiri

ranj alam, khushian aur gham, kya hasin adghaam hai
zindagi kya khatti miththi golion ka naam hai
ik zara si baat pe khafgi bohut hi aam hai
sab ko khush rakhna meri jaan sab se mushkil kaam hai
behtri ke vaste jiski tera har kaam hai
phir bhi usske dil mein tere vaste ibhaam hai
halq mein chhubhti hui kadvi kaseli si dawa
pii rahe hain muskura ke jaise ke ik jaam hai
chakh liya maine maza aur main kahon aaye zindagi
rang hai pakka magar dar_asl kacha aam hai
muntazir hun apne aangan mein tumhara aur saath
ishq paichan ke mehakte phool hain aur sham hai

No comments:

Post a Comment

wel come