Friday, June 12, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

husn marhoon-e-josh-e-baada-e-naaz
ishq minnat-kash-e-fusoon-e-niyaaz
dil ka har taar larzish-e-paiham
jaan ka har rishta waqf-e-soz-o-gudaaz
sozish-e-dard-e-dil kise maloom
kaun jaane kisi ke ishq ka raaz
meri Khamoshiyon mein larzaan hai
mere naale ki gum-shuda aavaaz
ho chuka ishq ab havas hi sahi
kyaa karen farz hai ada-e-namaz
tu hai aur ik taghaful-e-paiham
main hun aur intzaar-e-be-andaz
khauff-e-nakami-e-ummiid hai ''faiz''
varna dil tod de tilism-e-majaaz

No comments:

Post a Comment

wel come