mere dil mere musafir
hua phir se hukm saadir
ke vatan badar hon ham tum
den gali gali sadayen
karen rukh nagar nagar ka
ke suraag koi paayen
kisi yaar-e-naamabhar ka
har ek ajnabi se puchhen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-kuu-e-nashanayan
hamen din se raat karna
kabhi isse baat karna
kabhi usse baat karna
tumhen kya kahun ke kya hai
shab-e-gham buri bala hai
hamen ye bhi tha ganimat
jo koi shumar hota
hamen kya bura tha marna
agar ek baar hota !!!
No comments:
Post a Comment