Friday, June 12, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar toh dekho
gul khile jaate hain vo saaya-e-dar toh dekho
aise nadan toh na thay jaan se guzarnewale
nasiho, rahbar-o-rahguzar toh dekho
vo toh vo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhse
ek nazar tum mera mehbuub-e-nazar toh dekho
vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karate hain
dekhnewalo kabhi unnka jigar toh dekho
daaman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
aao ek din dil-e-purakhuun ka hunar toh dekho
subah ki tarah jhamakata hai shab-e-gham ka ufaq
'faiz' taabindagi-e-deeda-e-tar toh dekho

No comments:

Post a Comment

wel come