Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

teri gham ko jaan ki talash thi, mere jaan-nisar chale gaye
teri rah mein karte thay sar talab, sar-e-rahguzar chale gaye
teri kaz-adaai se haar ke shab-e-intzaar chali gayi
mere zabt-e-haal se roothkar mere ghamgusar chale gaye
na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, hiqayatein[stores], na shikyatein
tere ahd mein dil-e-zaar[weak] ke sabhi ikhtiyar chale gaye
ye hamin thay jinke libaas par sar-e-ruu[face] siyahi likhi gayi
yahi daag thay jo saza ke hum sar-e-bazm-e-yaar chale gaye
na raha, junoon-e-rukh-e-waffa, ye rasan[rassi], ye daar[phansi] karoge kya
jinhe zurm-e-ishq pe naaz tha, vo gunahgaar chale gaye

No comments:

Post a Comment

wel come