Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ye kis khalish[chuban] ne phir iss dil mein ashiyana kiya
phir aaj kis ne shukan[baat] humse gayebana[chupke se] kiya
gham---jahan ho, rukh-e-yaar ho, ki dast-e-aduu[dushman]
salook jis ne kiya humse ashikana kiya
thay khaak-raah bhi hum log, kehar-e-tufaan bhi
saha yoh kya na saha aur kiya toh kya na kiya
khusha ki aaj hare k muddai ke lab par hai
vo raaz jisne hamen randa-e-zamna kiya
vo hilagar[bahanebaz] jo waffa_juu[prem karne wala] bhi hai zaffa-juu bhi
kiya bhi ‘faiz’ toh kis buut se dostana kiya

No comments:

Post a Comment

wel come