Friday, June 12, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

tum jo pal ko thehr jaao to ye lamhen bhi
aanewale lamhon ki amanat ban jaayen
tum jo thehr jaao toh ye raat, mehtab
ye sabza, ye gulaab aur ham donon ke khwab
sab ke sab aise mubaham ho ki haqiiqat ho jaayen
tum thehr jaao ki unavaan ki tafasiir ho tum
tum se talkhi-e-auqaat ka mausam badle
raat to kya badalegi, haalat toh kya badalenge
tum jo thehr jaao to meri zaat ka mausam badale
mahaarbaa.N ho ke na thehro to phir yuu.N Thaharo
jaise pal bhar ko koi khwab-e-tamnna thehre
jaise daravesh-e-mada-nosh ke pyaale mein kabhi
ek do pal ke liye talkhi-e-duniya thehre
thehr jaao ke madarat maikhane se
chalte chalte koi ek-aadh subu ho jaaye
iss se pahale ke koi lamha aa_inda ka teer
iss tarah aaye ke pevast-e-gulu ho jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come