Wednesday, June 24, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

aaiiye haath uthaayen hum bhi
hum jinhen rasm-e-dua yaad nahin
hum jinhen soz-e-mohbbat ke siva
koi buut, koi khuda yaad nahin
aaiye arz guzaren ki nigaar-e-hasti
zehar-e-imaroz mein sheerini-e-fardan bhar de
vo jinhen tabe garaanbari-e-ayyam nahin
unnki palakon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki aankhon ko rukh-e-subah ka yaara bhi nahin
unnki raaton mein koi shama munavvar kar de
jinke qadmon ko kisi ka sahaara bhi nahin
unnki nazaron pe koi raah ujaagar kar de
jinka deen peravii-e-kazbo-riyaa hai unnko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqeeq mile
jinke sar muntazir-e-teg-e-jaffa hain unnko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
kshq ka sar-e-nihan jaan-tapan hai jis se
aaj iqraar karen aur tapan hai jis se
aaj iqaraar karen aur tapish mit jaaye
haarf-e-haq dil mein khatakta hai jo kaante ki tarah
aaj izhaar karen aur khalish mit jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come