Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

vo ahed-e-gham ki kaahish-haaye-behaasil ko kya samjhe
jo unnki mukhtsar ruudaad bhi sabr aazma samjhe
yahan vabastgi, vahan barhami kya janiye kyun hai ?
na hum apni nazar samjhe, na hum unnki adaa samjhe
fareb-e-aarzu ki sahal-angaari nahin jaati
hum apne dil ki dhadkan ko teri aawaz-e-pa’ samjhe
tumhari har nazar se munsliq hai rishta-e-hasti
magar ye duur ki baaten koi nadaan kya samjhe
na puucho ahed-e-ulfan ki bas ik khwab-e-parishaan tha
na dil ko raah par laaye, na dil ka mud’daa samjhe

No comments:

Post a Comment

wel come