Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

jaise hum-bazm hain phir yaar-e-tarahdaar se hum
raat milte rahe apne dar-o-diwar se hum
sarkhushi mein yun sarmast-o-ghazalkhwah guzre
kuu-e-qatil se kabhi kuucha-e-dildaar se hum
ab wahan kitni murs’sa hai suraj ki kiran]
kal jahan qatal huye thay issi talwar se hum
humse be-bahraa hui ab jarm-e-gul ki sada
varna wakif thay hare k jang ki jhankar se hum
‘faiz’ jab chaha, jo chaha, sada maang liye
haath faila ke dil-e-be_zaar-o-dinaar[garib dil] se hum

No comments:

Post a Comment

wel come