Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

kab yaad mein tera saath nahin, kab haath mein tera haath nahin
sad[100] shukr ki apni raaton mein ab hizr ki koi raat nahin
mushkil hai agar halaat vahan, dil bech aayen, jaan de aaye
dilwalon kuucha-e-jaana mein kya aise bhi haalat nahin
jis dhaj se koi maqtal[qatal karne ki jagah] mein gaya, vo shaan salamat rehti hai
ye jaan toh aani jaani hai, ye jaan ki koi baat nahin
maidan-e-waffa darbaar nahin, yaan naam-o-nasab ko puch kahan
aashiq toh kisi ka naam nahin, kuch ishq kisi ki zaat nahin
gar baazi ishq ki baazi hai jo laga do, darr kaisa
gar jeet gaye toh kya kehna, hare bhi toh baazi maat nahin

No comments:

Post a Comment

wel come