Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ishq minnat kash-e-qarar nahin
husn majboor-e-intzar nahin
teri ranjish ki inteha mallum
hasraton ka meri shumar nahin
apni nazrein bakher de saqi
mai ba_andaza-e-khumar nahin
zer-e-lab hai abhi tabssum-e-dost
muntshir jalwa-e-bahar nahin
apni takmeel kar dun main
varna tujhse toh mujhko pyar nahin
chara-e-intzaar kaun kare
teri nafrat bhi ustvaar nahin
‘faiz’ zinda rahe vo hain toh sahi
kya hua gar wafa’she’aar[wafadar] nahin

No comments:

Post a Comment

wel come