Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri


vaffa-e-vaada nahin, vaada-e-digar bhi nahin
vo mujhse roothe toh thay, lekin iss qadar bhi nahin
baras rahi hai harem-e-hawas mein daulat-e-husn
gada-e-ishq ke qaase mein ek nazar bhi nahin
na jaane kis liye ummidvaar baitha hun
ik aisi raah pe jo teri rehguzar bhi nahin
nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hisaab na ho
vo bekhabar hi sahi, itne bekhabar bhi nahin
ye ahed-e-tark-e-muhbbat hai kis liye aakhir
sukoon-e-qalb idhar bhi nahin, udhar bhi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come