Tuesday, June 23, 2009

faraz ki shayyiri

jab tera dard mere sath waffa karta hai
ek samandar mere ankhon se baha karta hai
usski baatein mujhe kushbhu ki tarha lagti hain
phool jaise koi sehra mein khila karta hai
mere dost ki pehchaan yahi kaafi hai
woh har shaks ko danista khaffa karta hai
aur toh koi sabab usski mohabbat ka nahi
baat itni hai woh mujhse jaffa karta hai
jab khiza aayi toh laut aayega woh bhi 'faraz'
woh baharon mein zara kam hi mila karta hai !!!!

No comments:

Post a Comment

wel come