Thursday, June 25, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri


daur-e-aflaaq ka shabab hai tu
aaftabon ka aftaab hai tu
roop aisa hasin jaise gunah
khalq ka hasil-e-sawaab hai tu
tujhse joban ujaali raaton ka
mahtaabon ka mahtaab hai tu
aur zer-e-shafaq chiragaan ho
aaj yun ma'eel-e-hizaab hai tu
ye sitare tere pasiine ke
shab ka dahaka hua shabaab hai tu
tu jo surat pakad le hai vo khayal
yak-b-yak jaag uthe vo khwab hai tu
jo baharon ke dil se uthte hain
unnhi sholon ka pecho-taab hai tu
aankh padti hai ek zamane ki
bazm-e-imkaan mein intkhaab hai tu
jaise nagme lab-e-'firaq' pa' soye
sez par yun hi mehv-e-khwab hai tu

No comments:

Post a Comment

wel come