Tuesday, June 16, 2009

habib jalib ki shayyiri

ye aur baat teri gali mein na aayen ham
lekin ye kya ki shahr tera chhod jaayen ham
muddat hui hai ku-e-butaan ki taraf gaye
aawaargi se dil ko kahan tak bachayen ham
shayad ba_qaid-e-zeest ye saa'at[moment] na aa sake
tum dastan-e-shauq[within the prison of life (while alive)] suno aur sunaayen ham
benuur ho chuki hai bahut shahr ki faza
taariik[dark] raaston mein kahin kho na jaayen ham
usske bagaiir aaj bahut jii udaas hai
'jalib' chalo kahin se usse dhuundh laayen ham

No comments:

Post a Comment

wel come