Monday, June 15, 2009

haider ali aatish ki shayyiri

tadpate hain na rote hain na ham fariyad karte hain
sanam ki yaad mein hardam khuda ko yaad karte hain
unhin ke ishq mein ham naala-o-fariyad karte hain
ilaahi dekhiye kis din hamen vo yaad karate hain
shab-e-furqat mein kya kya saanp leharaate hain seene par
tumhari kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain

No comments:

Post a Comment

wel come