Monday, June 15, 2009

haider ali aatish ki shayyiri

ye aarzuu thi tujhe gul ke ru-b-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftgu karte
payam bar na mayassar hua toh khuub hua
zabaan-e-gaiir se kya shar[mischief] ki aarzu karte
meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara
kisi habeeb ko ye bhi hain justju karte
jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
aseer[prisoner] hone ke aazaad aarzu karte
na puchh aalam-e-baragashta[against] taali-e-'aatish'[burning fate]
barsatii aag mein jo baaran[rain] ki aarzu karte

No comments:

Post a Comment

wel come