Monday, June 15, 2009

haider ali aatish ki shayyiri

sun toh sahi jahan mein hai tera fasana kya
kahti hai tujhse khalq-e-khuda gaibana kya
zeena saba ka dhuundhti hai apni musht-e-khaak
baam-e-baland yaar ka hai aastana kya
aati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun toh maut dhuundh rahi hai bahana kya
betaab hai kamal hamara dil-e-azeem
mehman saray-e-jism ka hoga ravana kya

No comments:

Post a Comment

wel come