Friday, June 12, 2009

hasrat mohaani ki shayyiri

bhulata laakh hun lekin barabar yaad aate hain
ilaahii tark-e-ulfat par vo kyunkar yaad aate hain
na chhed ae ham-nashin kaifiat-e-saba ke afsaane
sharab-e-bekhudi ke mujhko saagar yaad aate hain
raha karate hain qaid-e-hosh mein ae wai nakaami
wo dasht-e-Khud faramoshi ke chakkar yaad aate hain
nahin aati toh yaad unnkiimahiinon bhar nahin aati
magar jab yaad aate hain toh aksar yaad aate hain
haqiiqat khul gayi 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
tujhe toh ab wo pehle se bhi badh kar yaad aate hain

No comments:

Post a Comment

wel come