Friday, June 12, 2009

hayat hashmi ki shayyiri

jalta hua chirag utha le gaya koi
itni si roshni bhi chura le gaya koi
ghar mein pada hua tha main saaman ki tarah
kya le gaya jo mere siva le gaya koi
hangama tha fasad tha aur lootmar thi
yun bhi hua ke meri qaza le gaya koi
mushkil se mere shehr mein aayi thi shanti
mazhab ka naam le ke bula le gaya koi
hisse mein bhookh mil gayi har kashtkar ko
Kheton mein jo anaj paka le gaya koi
waise toh iss pahad ka hilna muhaal tha
ashkon mein zindagi ko baha le gaya koi
gulshan mein ab 'hayat' gulon ki bahar hai
kante toh mujhsa aabla-pa' le gaya koi

No comments:

Post a Comment

wel come