Tuesday, June 16, 2009

jagannath azad ki shayyiri

mumkin nahin ki bazm-e-tarab[joyous gathering] phir saja sakun
ab ye bhi hai bahut ki tumhen yaad aa sakun
ye kya tilesm hai ki teri jalvagah se
nazdeek aa sakun na kahin duur ja sakun
zauq[tasteful] -e-nigah aur baharon ke darmiyan
parde gire hain vo ki na jinko utha sakun
kis tarah kar sako baharon ko mutamein[satisfied]
ahal-e-chaman jo main bhi chaman mein na sakun
teri hasin fiza mein mere ae naaye vatan
aisa bhi hai koi jise apna bana sakun
'azad' saaz-e-dil pe hain raqsan ke zam-zame
khud sun sakun magar na kisi ko suna sakun

1 comment:

wel come