Wednesday, June 24, 2009

jaun elia ki shayyiri

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon mein dhaal di
kar liya tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal di

yun to apne qaasidaan-e-dil ke paas
jaane kis kis ke liye paighaam hain
per likhe hain maine jo auron ke naam
mere vo khat bhi tumhare naam hain

ye tere khat, teri khushbu, ye tere khawab-o-khayal
mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasam ki tarah
guzishta saal maine inhen gin ke rakha tha
kisi ghareeb ki jodi hui raqam ki tarah

kitne zaalim hain jo ye kehte hain
tod lo phool, phool chodo mat
baagbaan ! ham toh iss khayal ke hain
dekh lo phool, phool todo mat

hai muhabbat, hayaat ki lazzat
varna kuch lazzat-e-hayat nahin
kya izazat hai, ek baat kahun
vo….magar khair koi baat nahin

sharm, dehshat, jhijhak, parishaani
naaz se kaam kyun nahin leti
aap .... vo .... jii .... magar ...., ye sab kya hai
tum mera naam kyun nahin leti

saal'haa'saal aur ek lamha
koi bhi toh na inn mein bal aaya
khud hi ek dar pe maine dastak di
khud hi ladkaa sa main nikal aaya

No comments:

Post a Comment

wel come