Friday, June 12, 2009

javed akhtar ki shayyiri

phirte hain kab se dar_ba_dar ab iss nagar ab uss nagar
ek dusre ke ham_safar main aur meri aavaaragi
na ashana har rah_guzar na meharbaan hai ek nazar
jaayen toh ab jaayen kidhar main aur meri aavaaragi
ham bhi kabhi aabad thay aise kahan barbaad thay
befikr thay aazad thay masaruur thay dil_shad thay
vo chaal aisi chal gaya ham bujh gaye dil jal gaya
nikale jala ke apana ghar main aur meri aavaaragi
vo maah-e-vash vo maah-e-ruuh vo maah-e-kaamil hu_b_hu
thi jis ki baaten kuu_b_kuu uss se ajab thi guftagu
phir yun hua vo kho gayi aur mujhko zid si ho gayi
laayenge ussko dhuund kar main aur meri aavaaragi
ye dil hi tha jo seh gaya vo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kyaa rah gayaa ashko.n kaa dariyaa bah gayaa
jab kah kar vo dilbar gaya tere liye main marr gaya
rote hain ussko raat bhar main aur meri aavaaragi
ab gham uthaayen kis liye ye dil jalaaye.n kis liye
aa.Nsuu bahaaye.n kis liye yun jaan gavaayen kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhuundenge ab aisa sanam
honge kahin toh kaargar main aur meri aavaaragi
aasar hain sab khot ke imkaan hain sab chott ke
ghar band hain sab kot ke ab khatam hai sab toot ke
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise hue hain beasar main aur meri aavaaragi
jab hamdam-o-hamraaz tha tab aur hi andaaz tha
ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
ab mujhse ho toh ho bhi kya hai saath vo toh vo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aavaaragi

No comments:

Post a Comment

wel come