Tuesday, June 16, 2009

khalil ur rahman azmi ki shayyiri

tarz jeene ka sikhati hai mujhe
tishngi zehar pilaati hai mujhe
raat bhar rehti hai kis baat ki dhun
na jagati hai na sulati hai mujhe
ruuthata hun jo kabhi duniya se
zindgi aa ke manati hai mujhe
aaiina dekhun toh kyunkar dekhun
yaad ik shaks ki aati hai mujhe
bandh karta hun jo aankhen kya kya
roshni si nazar aati hai mujhe
koi mil jaaye toh rasta kat jaaye
apni parachaai daraati hai mujhe
ab toh ye bhuul gaya kis ki talab
des pardes phirati hai mujhe
kaise ho khatam kahani gham ki
ab toh kuch neend si aati hai mujhe

1 comment:

  1. Help poor students by spreading information about scholarships and get Mozilla Firefox T-shirt for free add my blog in your blog.

    Note: My blog is non profit only for helping poor students.

    Make your comments about my blog on my blog.

    www.ocscholarships.blogspot.com

    ReplyDelete

wel come