Monday, June 15, 2009

madanpal ki shayyiri

jab naam tera pyar se likhati hain ungaliyan
meri taraf zamane kii uthati hain ungaliyan
daman sanam ka haath mein aaya tha ek pal
din raat uss ek pal se mahakti hain ungaliyan
jis din se duur ho gaye uss din se hi sanam
bas din tumhare aane ke ginati hain ungaliyan
patthar tarash kar na bana taaj ek naya
fankaar ki zamaane mein katti hain ungaliyan

No comments:

Post a Comment

wel come