Monday, June 15, 2009

mahashar badayuni ki shayyiri

ik intzaar sa tha ab nazar mein vo bhi nahin
safar mein marne ki fursat thi ghar mein vo bhi nahin
zara malaal ki zulmat ko taalane ke liye
kai khayaal thay ab toh asar mein vo bhi nahin
jo sang-o-khaar thay meri hi gardishon tak thay
main rahguzar mein nahin rahguzar mein vo bhi nahin
thay chshm-e-baam nagar mein ajab tuluu[dawn] ke rang
vo ik nishaat-e-sahar[happiness] tha sahar mein vo bhi nahin
rahe na kuch bhi magar ye kaif kya kam hai
jis aagahi ki kami thi hunar mein vo bhi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come