Monday, June 15, 2009

mahir ratlami ki shayyiri

hazar gham thay meri zindgi akeli thi
khushi jahan ki mere vaste paheli thi
vo aaj bach ke nikalte hain mere saye se
ki maine jinke liye gham ki dhuup jheli thi
juda hui na kabhi mujhse gardish-e-dauran
meri hayat ki bachpan se ye saheli thi
chadha rahe hain vo hi aaj aastin mujh par
ki jin ki piith pe kal tak meri hatheli thi
ab unnki qabr pe jalata nahin diya koi
ki jinki dahar mein roshan bahut haveli thi
vo jhuk ke phir meri turbat pe kar rahe hain salaam
issi ada ne toh "mahir" ki jaan le li thi

1 comment:

wel come